Woh ek Khush Akhlaq, Eimandar, Jaanbaz Police officer the, unhe Presidential Police Medal our deegar awards se nawaza gaya tha.
Woh ghareeb, yateem bachchon ki taleem ke liye fikarmand the, kyonki woh Khankahe Qadariya, Barkatiya Marehra shareef ke mumtaz Roohani wa Samaji Rehnuma Sayed Mustafa Haidar Hasan " Ahsanal Ulema" Ke yahan 3March 1964 ko Marehra mein paida hue.
Lihaza wirasat mein mile "Taleemi Mission" Ke liye unhone aur unki family Barkatiyan ne "Al Barkat Education Welfare Society" Qayam kar Marehra mein aur Aligarh mein "Al Barkat College of Management, B. Ed, Girls ki Meyari taleem aur sham ko ghareeb bachchon ko free taleem yani taleemi pasmandgi wale elaqon men Ilm ki roshni, shama jalane ka karekhair kiya hai. InshaAllah jald hi Al Barkat University mein upgrade ho jayegi
Meri marhoom Sayed Mohammad Afzal sb se kai bar Al Barkat mein AMU ke sabiq Vice Chancellor Sayed Hamid sb ke sath aur kai bar jab woh AMU ke registrar the, mulaqaaten huin. Unhone mujhe ek naseehat di jo aaj tak yaad hai ki " Ham Musalman (Aligarian) apne hamsaya se itne pichharh gaye hain ki hamare bachchon ko unse duguni lagan aur mehnat se padhna hoga tabhi hamre bachche Civil Service mein select ho sakte hain."
Meri dua hai ki Allah unhe Jannatul Firdos mein aala muqam ata farmaye. Unke warseen ko Sabre Jameel ata farmaye.
Allah se dua hai ki hamare andar Sayed Mohammad Afzal sb ki khusoosiyat, Sifat dilon mein transfer karde jo ham bhi unki tareh Taleemi Mission mein apna tan, man dhan kharch kar saken. Aameen.