Tuesday, May 24, 2022

Manlo ! ki Aurangzeb ne torh phorh kee thee, To kya Sarkar bhi Aurangzeb ki tareh kaam karegi -Prof. Irfan Habib

 

Manlo ki Aurangzeb ne torh phorh kee thee, To kya Sarkar bhi Aurangzeb ki tareh kaam karegi-Prof. Irfan Habib

Aligarh Muslim University ke Emeritus aur mash hoor International fame ke Historian Professor Irfan Habib ne kaha ki jis tareh Mughal Badshah Aurangzeb ne Mandir torhkar ghalat kaam kiya tha, to kya usi tareg ab sarkar bhi ghalat karegi ?

Kashi aur Mathura ke mandir Raja Veer Singh Bundela ne Jahangeer ke shasan kal mein banwaya tha. Yeh itihas mein darj hai.

Prof. Irfan Habib ne kaha ki Gyanvapi mein Shivling milne ki baat kahi ja rahi hai, lekin jo yachika dakhil kee gayi thee, usmein is baat ka koi zikr nahin tha.

Shivling banana ka ek tareeqa hota hai, har cheez ko shivling nahin bata sakte. Ab shivling ko mudda banaya ja raha hai.

Unhon ne kaha ki jab mandir torhe gaye the to unke patthar masjidon mein bhi istemal kiye gaye the. Bahut si masjidon mein hindoo pirteekon ke patthar istemal  kiye gaye the.

Bahut se mandiron mein BODH mazhab ke istemal kiye hue patthar mil jayenge.

 

Rarha Kumbha dwara Chittorh mein banwai gayi Meenar ke ek patthar par Arbi mein “Allah” likha hai lekin use ham Masjid nahin keh sakte.

Kya itne bhar se Musalman keh sakte hain ki yeh yeh Masjid hai aur hamein de di jaye?

Prof. Habib ne kaha ki 1992 mein Ayodhya mein Babri Masjid torhi gayi the aur ise Ram Mandir banane ka rasta saaf ho gaya tha. Unhon  ne kaha ki Aurangzeb ne Mandir torhe the us zamane mein chhipkar kaam nahin hote the’

Itihas mein mandir torhne ki ghatna darj hai.

Gyanvapi mamle me Prof. Irfan Habib ne kaha ki “jab bhi purane waqt mei aise Masjid ya Mandir bane hain to un mein Bodhvihron ke patthar mile hain, to kya mandiron ko torh diya jaye.”

 Yeh bewaqoofi bhari baten hain. Aur aisi isthti mein bahut se mandir toot jayenge?

 

 


No comments:

Popular Posts