Monday, May 30, 2022

Modi ji ne “Beti bachao Beti parhao” Islam Mazhab se seekha – Shaista Ambar

 

Muslim Pesonal Law Board, Lucknow, UP ki Presdient Shaista Ambar se interview lete hue SEWA Trust ke Secratary Shaikh Rais (Anoopshahar) aur President Dr. Masood Ahmad

Modi ji ne “Beti bachao Beti parhao” Islam Mazhab se seekha – Shaista Ambar

 Women’s Muslim Pesonal Law Board, Lucknow UP ki President Mohtarma Shaista Amber ne Badar Bagh Aligarh mein SEWA Trust ke Secretary Shaikh Rais aur president Dr. Masood Ahmad ko ek interview mein bataya ki Prime Minister of India shri Modi ji ki BJP Sarkar ne “Beti bachao Beti parhao” ki yojna aur slogan “Islam Mazhab” ke messanger hamare piyare Nabi Mohammad Mustafa S.A.W. ki Sunnat “Beti bachao Beti parhao” se seekha hai.

Shaista Ambar ne kaha ki Islam Mazhab ke urooj se pehle log apni betion ko zinda zameen mein garh dete the. Kyonki betion ki wajeh se hi jang hoti then, qatal qital hote the aur khandan ki beizzati ho jati thee.

Hamare piyare Nabi Mohammad Mustafa S.A.W. ne farmaya

1-jis ke ghar mein beti paida hogi woh Sunnate Rasool hogi, us ghar mein Barkat hogi, karobar achchha hoga, Khushian mayassar hongi.

2 –Jis ne 2 ya 2 se zyadah larhkion ki parwarish ki, Taleemo Tarbiayat ki aur unka Nikah karaya to  Hamare piyare Nabi Mohammad Mustafa S.A.W. unke waliden ko Jannat dilaenge.

3 –Islam Mazhab mein Larhki ko peehar mein aur sasural mein dono jageh Virasat mein hissedari di gayi hai. Use kisi bhi halat mein akela baghair sarparasti ke lawaris nahin chhorha hai. Larhki ko paida hone se marne tak usko maan w samman, arthik khushhali se nawaza gaya hai. Yahan tak ki agar koi rishtedar n ho to Zakat Baitumaal mein bhi “Misakeen” mein unka hissa hai

4 -Islam Mazhab mein Larhki ko uski pasand se shohar chunne, uski razamandi, aur yahi nahin nikah se pehle qubooliyat mein bhi use pehle qubool karne ka hukm hai. Larhki ke qubool karne ke baad hi larhke se qubool karaya jaata hai.

5 -Nikah se pehle larhki ko muashi, arthik, Finencial Empowerment dene ke liye samjhote mein MEHAR muqarrar karne ki sahooliyat di hai. Taki woh financially strong rahe.

6 -Larhki ko mardon ke muqable ek bahut barha nayab tohfa “ Maan ke pair tale Jannat” ki dunia hi mein Basharat dee gayi hai.

7 - Quraan mein jahan mardon se khitab kiya gaya hai wahin khawateen ko bhi khitaab kiya gaya hai. For example har musalman mard wa aurat ko Ilm ka janna farz qarar diya gaya hai. Larhke ki tareh larhki bhi

In Legislatur mein Begam Hazrat Mahal, Begam Sultan Jahan, Razia Khan, Chaand Bibi, Assam ki 8th CM Anwara Taimoor,  Pakistani PM Benazeer Bhuttoo 1988 to 1990, Turkish PM Tansu Ciller, Bangla Desh PM Khalida Zia aur Shaikh Haseena, Singapur PM Halimah Yaqoob

  Dr., Engr., Judge (Justice Fatima), IAS, PCS, Journalist (Arifa Khanam), Nazneen Yasmeen ISRO mein select hui hain, Spotrts mein Sania Mirza, eg qabile tareef misaalen hain.

Ham keh sakte Hain ki Islam Mazhab ne Larhki, Khatoon, Wife, Mother, Sister, Daughter har Rishhte aur stage par usko hifazat aur sahara, maan samman ki nazron se dekha hai.

 Shaista Ambar ne bataya ki aajkal mein apne husband “Ambar Behraichi”  ki likhi tehreeron, sahitey, ghazlon, kahanion, mazamoon ko kitab ki shakal mein print karakar shai karane ki koshish kar rahi hoon. Aap sab se Duaaon ki darkhwast hai.

 

 



No comments:

Popular Posts