Professor Mohammad Muqeem Founder Director of Aligarh College of Education, Anoopshahar Road, Aligarh Yome Jamhooria ke mubarak mauqe par Jhanda phehrate hue, saath mein Chief Guest Dr. Masood Ahmad, Guest of Honour Prof. Qurratul Ain Ali, Dr. Afsana Parveen, Dr. Nida Fatima, JNMC, AMU Aligarh mein Trauma Incharge Shahzad Baig, Nursing Officer Salman Usmani, Principal, Teachers, Staff and Students ne milkar Yaume Azadi manya.
Chief guest Masood Ahmad said-
InshaAllah,AMU ka Minority Charector zaroor milega Chief Justice of India ki sadarat mein 7 Judges ki bench ke samne Jo positive behas Hui hai us se Insha Allah yeh Ummeed Hui hai ki AMU ka Aqliyati Kirdar mil kar rahega. 1-Pehle Madarsatul Uloom jise upgrade kar Anglo Oriental College banaya gaya tha. 2-Kyonki Sir Syed Ahmad Khan ka khwab tha ki Muslmanon ke ek hath mein Science, Technology, Modern Education aur doosre hath mein Relegiios Education anf Falsafa aur Sar par Quraan e Kareem ( Kalma Tayyaba La Ilaha illallah Mohammadur Rasoolullah) Taleem qaam ki jaye 3-Islami Tarbiyat keliye cambridge/ Oxford University ke residential Hostel mein rakhkar Musalmanon ko discipline sikhaya jaye aur India ke har soobe ke different Lyfe Style ki zindgi jeene wale Students ko Islimic Life Style ki zindgi jeena sikhaya jaye taki yakjehti, Muttahid , Adujust, ek doosre se seekhne ki salahiyat paida ho jaye istarha Taraqqi hogi aur Musalman Hindustan mein mukhey dhara mein aa jayega. 4-Musalmanon ka Taleemi pichhrha pan ( Jihalt aur Jahliyat ka andhera) door hojayega aur Taleemi Roshni se apna Job, Life Style behtar ho jayega. Solicitor General Tushar Mehta ne kaha ki kyonki AMU lnterntional status ki Shohrat yafta University hai is liye yeh Minority University nahin ho sakti Iske jawab mein justify karne ke waste ham yeh kehna chahte hain ki religious education to Ulema ke zariye pehle hi se mil Rahi thi jo ki Quraan aur Hadees ke ain mutabiq nahin thi
Jaise ki Sir Syed Ulema ki mundarja zail muddon ke khilaf the A-1,2,3,4, counting shaitani hain Musalmanon ko nahin seekhna chahiyeB-Printing Press istemal nahin karni chahiye aur is tarah Spain mein Musalmanon ka tamam Islamic Literature tabah ho gaya aur naya print nahi ho saka C-Musalmanon ko English, Hindi aur doosri Zabanen (Language) nahin seekhni chahiyen D- Khwateen ko parhana hi nahin chahiye. Agar Sir Syed ko parhane ki zid hai to sirf parhana chahiye magar likhana nahin sikhana chahiye warna woh bigarh jayengi E- Sirf Ibadat ki Deeni taleem sikhaiye aur usi mein Zakat, Sadqat, Khairat, Imdad deni chahiye baqi kisi taleem ke liye nahin. baqi tamam subject, English parhane ki kya zroorat hai? Ulema ki In above soch ke khilaf Sir Syed ne Hadees :- har Musalman Mard aur Aurat ko ilm ka Janna farz hai Agar kisi Angrez khatoon ne English mein Quraan Janna chaha to baghair parhe Musalman Khwateen kaise jawab dengi? Dr. Masood Ahmad ne bataya ki Sir Syed Ahmad khan aur First viasaraey Govt. of India ke beech mashwara hua ki Relegious Education ke saath Musalmanon ko Hindi, Urdu, English, and other foreign Language, Science, Engineering and Technology, Modern Medicine, Para Medical and Nursing Course Health w Hygien, Unani Medicine, Law, Management, Commerce, CA, Social science, Political Science, Women's College, Nuesury to Higher Secondry Courses Minority ko parhane ke liye, Dunia ke logon ke sath qadam se qadam milakar chalne aur update w upgrade keliye Cambridge University ki tarz par ek University qayam ki jaye aur 1920 mein Parliament ke Special Qanoon ke tehat Mohamdan Anglo Oriental College ko Aligarh Muslim University mein upgrade kar diya gaya. Suprim Court mein AMU ko Aqliyati Kiradar dilane ki behas mein Advocate Rajeev Dhawan, Advocate Kapil Sibbal, Advocate Salman Khursheed ne bench ko har point ko samjhane ki bharpoor koshish ki hai.
ACE ke students yaume Azadi ka tarana gaate hue
No comments:
Post a Comment