Monday, January 8, 2024

Ah! Ek Chiragh aur Bujh Gaya

 Aah, Chowdhry Sharfuddin Advocate nahin rahe!


AISA KIRDAR BANAO JAISA SHARFUDDIN ADVOCATE SB KA THA!











UP ki Rajdhani Lucknow sarzameen ki Mashhoor aur Maroof Shakhsiyat, Mulk w Millat ki Taleemi Taraqqi, Samaji Behtri, Muashi Khushhali, Roohani Shakhsiyaat ki Pazeerai Khidmaat, Mehman Nawazi jaisi bahut si khoobiyon ka malik Chaudhry Sharfuddin Advocate nahin rahe.

Shaam 5 baje January 6, 2024 ko aakhiri saans le. 8pm ko baad Namaz Ishan Nematullah Building, Aminabaad mein pehli aur 8.30pm ko Aish Bagh mein doosri Namaz Janaza Zammeghafeer ki maujoodgi mein parhai gayi. MashaAllah unhon ne 90 saal se zyada ki umar payi.  

Sharfuddin sb bahut se Idaron, Tanzeemon, Anjumanon ke Sarparast, Bahut se yateemon, Ghareebon, Bewaon, Kamzoron, Apahijon aur zarooratmandon ke sahara is duniya se chale gaye. W oh apni jeb se kharch kar Sukoon, Rahat aur Khushian hasil karte the.

Mera taaluq pehle hi se Zila Bualandshahar ke Qasba Siyana ki taraf se tha. Aapki beti ki shaadi Siyana ke Chairman, Samajwadi Party ke hamare hardil azeez Sr. Leader Chaudhry Badarul Islam sb se hui thi. Is nisbat se bhi woh mujhe espacial Mohabbat aur Shafqat, Duaon se nawazte the.

199-92 mein Muslim Musafirkhana mein UP Rabita Committee ki meeting hui jis mein Chaudhry Sharfuddin Advocate sb ne sab se pehle Rs.10,000 pesh kiye aur tai kiya ki aindah meeting mere ghar par hi hua karengi. Uske baad ham sab logon ne maali taawun dena shuru kiya, yani ki KARE KHAIR shuru karne ka “ Sadqaa e Jariya” ka sawab Sharfuddin sb ko milta rahega.

Salana jalse se pehle Sharfuddin sb ne mujhe dikhaya ki hamare ghareeb khane mein mehmanan ke theharne keliye kya intzamat karne chahiyen?

Mein ne sab dekha aur bataya ki sab theek hai sirf Toilet mein English seat lagwa dejiye Kyonki Saiyid sb, Col. Rasool sb aur Buzurg saheban English seat pasand karte hain unhone foran intzam kar diye aur Saiyid sb aur unke rufaqa ke theharne par unki Khushi ka koi thikana nahin tha. Aaj bhi mere samne unka Khanda peshani aur muskurata hua chehra yaad aa raha hai.

Unke ghar par ek yadgar Mango Party, Sharfuddin sb ke Damad Badar bhai ki zere qyadat “AAM ka Nauroz hota tha jismein har qism ka Aam, Sharbat, aur har qism ka lazeez khane hote the. Is mehfil mein do party ban jati theen aur phir Shero-Shayery, Baitbazi hoti thi. Ghalib, Meer, Faiz, waghaira ke ashaar aur Qisse bayan kiye jate aur wah wahi looti jaati.

Dono taraf se sher parha jata aur doosri taraf se uska jawab milta aur taliyan bajteen, Sab log Sherwani, Achkan, aur tareh tareh ki topiyan pahan kar mehfil ko khoobsoorat bana dete the.

Is bemisal, yadgar mehfil mein Mohammad Azam Khan, Mulayam Singh Yadav aur unki cabinet, Ahmad Hasan, MPs, MLAs, Administrative Servents, DGP Rizwan Ahmad, Advocate General UP Zafayyab Jeelani, LKO aur Allahabad, High Court ke wukla, IAS Officers, Namwer Shayerat w Shoura Hazrat Buzurganedeen, Tanzeemon ke zimmedaran, Shareek hote The.

Mein aur Mrs. Musafir khana thehar gaye the, Dopehar ka khana khakar ham unse milne gaye to naraz ho gaye aur mujhe Fridge dikhaya ki har waqt Chiken Qeema, khane ka sab saman bhara rehta hai. Yeh Allah ka fazal hai, Ismein aap Mehmanan ka bhi HAQ w hissa hota hai. 15 minutes mein dastarkhwan saj jata hai. Aap hamare Bulanjdshahar ke apne ho bejhijhak aajaya karo. Hamein aapke na aane se pareshani hogi, Apke aane se to khushi hogi, Ham safar nahin kar sakte, Aapse sab logon ki jankari, hal chal pata chal jaata hai.  

Unki beti bhi bahut Khushmijaz, Ghareebparwer, Rehamdil,  Mehmanawaz, Lukhnow aur Siyana mein apne Abbu ki sajai mehfil mein Lazeez Khane khilakar char chand laga deti theen, sab ka khyal rakhti theen. 

Ek baar mein Badar ul Islam sb ka Election larhane gaya aur raat ko Siyana mein hi thehar gaya. Badar bhai ko sare din ki report deni thi, bheerh mein baithkar mein bhi khana kha raha tha.

Ek bachche ne kaha ki Aapko Begam Sahiba bula rahin hain, Begam Sahiba (Marhooma) ne bulakar ghar ki tawe ki roti khilaen aur kaha ki aap ko yeh aam khana bahut chatpata hai, hazam nahin hoga. Aur bataya ki Abbu aapki bahut tareef karte hain, aap se bahut mohabbat karte hain. Yeh thi Sharfuddin sb ki tarbiyat.

Raat ko sone se pehle mehmankhane mein aa jate aur dikhate ki dekho Masood!  Musalman Urdu ko farogh dene mein kitni koshish kar rahe hain, Unke ghar pata nahin kitne akhbar, Risale, Mujalle, Kitabche, Kitaon ki Post aati thi sab ko yaad karke chanda khushi khushi diya karte the. Mein sochta tha ki Urdu ko farogh to aap inhen khareedkar kar de rahe hain.

Itni barhi Shakhsiyat, Senior Buzurg hote hue bhi zayada din khairiyat n milne par, aur Kabhi kabhi khairiyat maloom karne,  Khusoosan EID par Phone bhi aa jata tha aur mein sharminda ho jata tha ki ham se khairiyat maloom karne mein der kyon ho gayi?

Allah taala se unki maghfirat ki Dua hai. Allah unke jaane anjane mein ho gaye Gunahon ko muaf farma, Unko Jannatul Firdos mein jageh ata farma. Unke warseen ko Sabr ata farma.  Ham sabko unki Naimul Badal ata farma. Aameen!

Copy to:-

Jb Aman Ullah Khan, Founder UP Rabita Committee, Aligarh

1- Janab Badar ul Islam sb Siyana Distt. Buland Shahar

2- Jb Wasi Ahmad Siddiqui, President UP Rabita Committee, LKO

3- Jb Maulana Sikandar Islahi Secretary UP Rabita Committee, LKO   

No comments:

Popular Posts