Friday, October 16, 2020

SIR SAYED BHARAT KO VIKSIT DESH BANANA CHATE THE--DR.MASOOD

 Sir Sayed Ahmad Khan Bharat desh ke Taleemi Tarqqi, Samaji behtri, Muashi-Arthik khush hali ko maddenazar Bharat ko Viksit desh banana chahte the. Woh wasi un nazar (Doordarshi) the. Unhon ne dekha ki Hindustani, khusoosan  Musalman Maulvion ke follower hain jo Quraan aur Hadees ke mutabiq women's ki Education, unke Sharai huqooq n dekar Women's Empowerment mein rukawat bane hue hain.

Sir Sayed Quraan ki 6666 Aayat  mein se 1/3 Ayat par mubni Religeous Taleem (Ibadaat) ke saath saath Sciense, Vigyan, 2/3rd yani 4444 Ayaat jismein Philosophy, Medicine (Tib, Sehat w Hiifzane Sehat), Engineering, Technology (Dastkari), Management, Islamic Banking, Mathe, Geography, Geology par mubni Vigyan bhi parhakar Angrezon se muqabla karana chahte the.

Sir Sayed jante the ki Spain mein Musalman Higher Education mein Europ se bahut taraqqi yafta the magar Maulana Ghizali  ne taleem ko Deeni aur Dunyavi mein taqseem kar, Quraan ki haqtalfi kar Musalmanon ko bahut nusqsaan pahunchaya.  Mathe ki gintiyon ko shaitani amal batakar parhne se roka aur Mauvion ne Press mein chhapne ko gunah qarar diya. 

Musalmanon ka tamam Litrature deemak w kharab barbad ho gaya dobara n print ho saka jabki Europ ne Musalmano ke books ko apni research batakar print kar diya.

Ulema hazrat ne Quraan mein likhe ki aasmanon ki bulandion  aur samundar ki gehraion mein ghauro khos (Research,) karo ko chhorh dia.

Maulvion ne SirSayed ko kafir bataya ki yeh Angrezi, Science parhana chahta hai aur Larhkion, Khwateen ko parhakar bigarhna chahta hai.

Sir Sayed se kehte the ki sab kuchh karo magar Tehzeebul Akhlaq Akhbar shaye n karo yeh ham Moulvion ke khilaf hai, Awam ham se sawal karte hain. 

 SIR SAYED ne Darul Uloom Deoband ke bani aur apne classfellow Maulana Qasim Nanotvi aur Maulana Qayyum Nanotvi ki narazgi ke bawajood Ek hi Faculty mein Sunni aur Shia hazrat ko ek hi chhat ke neeche saath saath parhne aur ek hi AMU ki JamaMasjid mein Namaz ada karne ki alag rah ikhtiyar ki aur dono ko baraber izzat w Ehtram se nawaza.

Maulvion ki sakht mukhalfat ki wajeh se aur Sir Sayed ke taleemi mission ko sarahte hue hi East India Company, Angrezon ki hukoomat ke Vaisarai ne Sir Sayed ke Madersa tul Uloom ko 1875 mein Mohammadon Anglo Oriental College ko University mein upgrade karne keliye khud parliament jakar Sir Sayed ki honsla afzai aur pazeerai ki ki Musalmanon ko bhi Science w Technology, Modern Science parhane keliye madad karni chahiye.

1920 mein Sir Sayed ke bete Sayed Mahmood (First Chief Justice of High court) ne Chande se ikhatta kiye hue 30 Lac Rs. aur Meyari Khoobsoorat Buildings, Jama masjid, Strechy Hall ko apni aghosh mein samete hue Ifrastucture ko dekar Bharat hukoomat ne Mohammadon Anglo Oriental College ko 1920 mein ALIGARH MUSLIM UNIVERSITY ko Special' Act ke zariye (Banaras Hindoo University) ke saath upgrade kard University ka darja dia.

1965 se 1972 ke dauran University ko namasaid halat se joojhna parha. 1961 mein Aziz Paasha ki Supreme Caurt mein ek arzi ki bina par AMU ke Minority Charector par kale badal chha gaye magar 1981 mein Central Govt. ne qanoonan AMU ko Minority Institution ka darja diya aur Minority Charector bahal kar diya jo aajtak hai aur Inshaallah ainda bhi rahega.

AMU ke Old Boy's aur Teacher Staff  ka barha tabqa AMU ko Dame, Darme, Sukhne aur Qadme AMU ko apni jaan se bhi zyada taraqqi chahta hai magar Vice chancllor Aslam parvez ke mutabiq ek chhota tabqa apni Ayyari aur Makkari se baaz nahin aata aur AMU ki Zameen aur Nokrion mein Bhai Bhateeja, Saala Saali Behnoi w rishtedaar aur apne ilaqe ke na ahel logon ko rebrhi kit tareh baant kar Univerisity ke meyaar ko kamtar kar rahe hain.

Vice Chancellor Saiyid Hamid ne beimaan Students aur Teacher staff ke beiman gathjorh ko torhkar University ko barbad hone se bachaya wahin VC Mahmoodur Rehman ne apne sarkari dande se zameen mafia ke munh se zameen ko bachaya aur karorhon  rupey kharch kar boundry banwai gayi warna yeh AMU dushman AMU ki zameen par qabza kar korhion mein bech rahe the

Aaj Sir Sayed ke naqshe qadam par Banglor mein Dr. Mumtaz Ahmad ne Al Ameen University, Qadeer sb ne Shaheen group of Colleges, Chennai mein Moosa Raza sb ne, Pune mein, Einamdar  sb ne Azam Campus, Hayedrabad mein Dr. Fakhruddin Ahmad aur Asaduddin Owaisi ne, Gulbarga mein VC AM Pathan sb ne Medical aur Engineering College qayam kiye hain bemisaal hain.

Politically AMU ke sapooton ne koi barha kaarnama pesh nahin kiya. Sir Sayed ke vision ke mutabiq apni koi  AMU  base,Muslim aksariyat wali party jismein Dalit, Backward, dabe kuchle, (Panditon aur Thakuron se pareshaan) vanchit samaj ko saath lekar party nahin banai. Han zati mafad lekar nation partion mein apna tan, man dhan sab kuchh neuchhawar kar dia. Yon kahen ki apni biradrion ko bech dia.

Allama Iqbal ka sher yaad ata hai -

Khuda ne aaj tak us  qaum ki halat nahin  badli

N ho jisko khayal aap apni Halat ke badalne ka

Hamen sar jorhkar EHTISAB karna chahiye ki ham fizoolkharchi se bachen. bachchon ko parhaen mashware se muttahid hokar, hikmateamli se siyasat mein apna roll ada karen

Ghalti ho gayi ho to muafi ka talabgar hoon.

Dr. Masood Ahmad




No comments:

Popular Posts