Sunday, December 17, 2023

YADGAR LUNCH of GRAND BAZAR

 GRND BAZAR mein Khurrm Illyas aur un ki team ne 17 Octuber 23 ko ek “GRAND LUNCH” ka ehtimam kiya saath hi Qawwaliyon (Soofi Kalam) ka lutf liya.

Khurram Ilyas, Salman Ilyas, Khusro Bhai, Abdul Ahad Sherwani, ne Mahmanan ka purtpak istaqbal kiya. Nizamat ke faraiz Mazin Husain Zaidi ne anjam diye.



Khurram Iliyas ne Grand Bazar ki khusoosiat bayan ki. Unhon ne kaha ki jahan Aligarh Muslim University--Habitate Centre--LalDiggi Tal-CMO office, Judge Compound, Shasan w Prashasan ke Residence--GST Office--Abdullah Girls College, Women’s College to Marris w Ramghat Road  ki aamado raft hai,

Doosri taraf Railway Station to Sewa Bhawan, Deewani Court, Jail road par- Railway Bridge se GT Road Connection, Collectrate se nazdeek awami walking Distece jaisi khoobian se aap soch sakte hain ki aage aane wale waqt mein tafreeh w shopping, Business ke aitbar se sabhi Facilities ke bare mein bataya. Yeh bhi kaha ki Insha Allah Latest Interior Technology, Solar Plant, 24 hour lightning, Broad both side Open Space, Parking se yeh Aligarh Smart City ka Location aur Nagar Nigam w Chief Minister’s  investment meet se approved, ke aitbaar se sab se best smart SHOPPING MALL sabit hoga.

Advoacate Maqsood Hasan Kaatib aur Dr. Masood Ahmad ne Naatia kalam se Qawwalian shuru karain.

Is khoobsoorat Mehfil mein Indian Jwellers’s Zuhaib Saleem Khan, Kamran Garment, faisal bhai, Mashkoor Khan,  Ajju ishhaq Salman Shahid aur unki Team,  

AMU Old Boy’s (Alumni) Association ke Secretary Shabboo, Taufeeq, Dr. Masood Ahmad, Abu Hurera, Wakeel, Aman, Axis bank ke Dr. Ubaid, Dr Aftab, Dr Badar, Engr. Ubaid, Engr. Wasi, khurram  Roshan Construction ke jolly sb w unki team, Dr sleem anis, Dr. Iram murad, Dr sheerreen sherwani, Saleem tareen, Shafeeq Bhai, Liyaqat Ali

waghaira ne personal dilchaspi lekar jhoom jhoom lar Qawwalion ke programe ko yadgar bana diya.

Khurram Iliyas ne sab aye hue mehmanan aur Allah ka shukria adan kiya. 

Aap sab Dua keejiye ki Allah tabarak Ta aala "GRAND BAZAAR" project ko kamyab banaye , Aameen!  


No comments:

Popular Posts