Wednesday, June 15, 2022

AFSOS! BUMS ki 64 seats par Students ne admission kyon nahi liya?

 

UP mein 5 round ki councilling ke bad bhi AYUSH colleges ki 481 seaton par BAMS-335, BHMS -82. BUMS -64 seats par kisi ne dakhila nahin liya.

12 Ayurvedic College-501 seat,  Pvt.58 College-5010 seat

9 Homeopathic colleges-828 seats, Pvt 4 colleges-200 seats

2 Unani Colleges-128 seats, Pvt.18 colleges-670 seats                                                                                    

Govt. seats par sab ne Admission le liye

Pvt. Colleges mein 481 seat khali kyon reh gayin?

 

Agar pvt. Colleges mein 481 Students ne Admission nahin liye to College ke Principal apne Teachers ko salary kahan se denge. Infrastucture kaise maintain kerenge.

Hota yeh hai ki bogus Students MBBS ke layaq to study karte nahin, apne parents ko blackmail karte hain ki BUMS mein to dakhila lenge nahin, Sharam aati hai aur  drop kar next year phir lakhon Rs. Coaching par kharch kar MBBS ki tayyari karne lagte hain jo ki ghalat hai. Waqt aur paise  dono ki barbadi hai.

Hamari tajweez yeh hai ki BUMS mein hi admission le lena chahiye aur further tayyari karte rahen.

Note- agar seat chhorhte rahe to next budget mein Unani colleges ko Budget bhi kam ho jayega aur seat bhi kam kardi jayengi jiski wajeh se Unani System of Medicine ka nuqsan hoga.

agar MBBS mein admission nahin mila to students ko chahiye ki woh Admission form bharte waqt hi

Graduation ki Para Medical Course ke bhi form bharden eg. Bachelor degree in Pathology, Dentistry, Radiology, Anaesthesia,  Optemetry, Operation Theatre, Dialysis, Diatician, 

Bsc Nursing, Bsc. Physiotherapy, Bsc Biochemistry, Bsc Pharmacology, Bsc Fisheries, Bsc Biotechnology etc. 

mundarja bala courses mein bhi taraqqi ke bahut chances hain aur ek achchhi baat yeh hai ki incourses mein JOB Govt. ya Pvt, mein asanai se mil jaata hai. self employement mein bhi kamyabi milti hai.  

No comments:

Popular Posts