Wednesday, May 1, 2024

HAJ TRAINNG-2024

 HAJ TRAINING

1-Kennedy Hall mein 2-Eidgah Jamalpur 3-Enineering College, AMU kaq Assembly Hall 4-JNMC, AMU Aligarh ka auditorium 5-Masjid Tameer e Millat

Dr. Shariq Aqeel, CMO , Aligarh Muslim University, Aligarh
Dr. Maulana Amir Samdani

AMU ke Engineering College ke Assembly Hall mein Guest Nidhi Goswami aur Maulana Alam Mustafa Yaqoobi, Firozabad. below Trainer Abdul Samad, Engr Musahib Ali aur Md Tahir


Kennedy Hall mein Nidhi Goswami, Director Minority Welfare, Aligarh Mandal ka istaqbaal karte hue Dr. Taufeeq Ahmad aur Professor F.S. Sheerani 

                                                Assembly Hall mein Haj jane wale Hazrat

                    ISLAM MAZHAB KE PANCH PILLAR HAIN

1-Kalma Tayyba -Nahin hai koi Mabood (Ibadat ke layaq) siwaye Allah ke aur Mohammad S.A.W Allah ke bande aur Rasool hain.2-NAMAZ 3-ROZA 4-ZAKAT 5-HAJ

 QURAAN : Qudrati Wahi (Aakashwarhi) ke zariye aakhri NABI Mohammad Rasoolalllaho s.a.w. par utra, jis par  Nabi s.a.w. ne hoobahoo apni zindagi mein amal karke dikhaya. jise Hadees ke nam se jana jata hai.

 Pehle Nabi Hazrat Adam a.s. se lekar aakhri Nabi Mohammad s.a.w. tak amendment hote hue QURAAN qayamat tak ke logon ke liye zindgi jeene keliye ek dastoor e Hayat hai. Jis mein ek lafz bhi nahin badla hai aur n qayamt tak badla jayega. Yahi ek mojza hai ki Quraan har waqt, har marhale mein, har mamle mein kabh arhe nahin aata, koi tazad nahin hota hai. Aur Quraan ke manne walon ko koi pareshani nahin hoti.

 HAJ kyon kiya jaata hai?

Ulema batate hain ki Pehle zamane mein insaan ki umar bahut zyada hoti thi. Aakhri Nabi s.a.w. ki ummat ne Allah se shikayat ki kyonki hamari umar pehli ummation se bahut kam hai to sawab bhi kam hoga.

Ispar Hozoor s.a.w. ki Dua se Allah ne iska badal diya ki Madeene mein ek Rakat 50,000 guna aur ek rakat Kaba mein 1Lach 100000 ke barabar hoga.

Kennedy Hall, AMU Aligarh mein Haj Trainer Dr. Moonis Khan sb ne bataya ki haj ki ehmiyat isi baat se lagai ja lsakti hai ki Mana ki ek saal mein  5 waqt x 365 din =1,825 Namaz hoti hain.

Agar 80 saal ki poori zindgi mein 5 x 365 x 80 =1,46,000 Namaz

HAJ ke doran 40 Namaz Madina mein 1 Namaz@50,000 is tareh  40x50,000=20,00000 20 Lach

KABA mein per @ Nmaz1,00000 to istareh 40,000000 chalees lac namaz ka swab kamane ja rahe ho

Isitarah Shabe Qadar, Ramzan ki Taq raton 21, 23, 25, 27 29 mein ibadaat ka sawab, Ramazan mein Tarweeh, Wuzu karke Quraan parhne, Jamayat ke sath namaz parhne ka sawab barh jata hai.

 Quba mein ek umreh ka sawab milta hai.

HARAM mein pehle seedha pair rakhen aur Masjid ke ehtram ke liye 2 rakat Etkaf ki niyat se parhen. Nigah neeche rakhkar   

TAMEERE MILLAT mein Maulana Inaam sb Kasganj

Ham sab Akhirat ki fikr karte hue har din qabr ke qareeb hote jarahe hain. 

Kaba mein Allah ke hone ka ehsas karaya gaya hai, ek alamat hai, Allah ne ek hint diya hai ki agar Sahibe haisiyat ho to yahan ibaadat kar Allah ko razi kar lo to maghfirat pa loge.

Yahan aakar Talbia josh o kharosh ke saath buland aawaz mein 3 bar parhen “ Labbek ----Lashareekalak” tarjuma 4 sanson mein parhen  Ae Allah mein hazir hoon,

Allah mein hazir hoon,

Aap ka koi shareek nahin mein hazir hoon,

sab nematen aap hi ki ata ki gayi hain

Aur mulk bhi aap hi ka hai,

Is mein koi aapka shareek nahin.

Phir Dua mangen Ya Allah mein aap se aap ki khushnoodi aur Jannat ka talabgaar hoon. Aur aap ke ghusse aur Dauzakh se panah mangta hoon (ghanitah swad 94)

 parhkar Allah ki wehdaniyat (Allah ek hai jiska koi shareek nahin) ka iqrar karlo.

Madeena jakar Piyare aur aakhri Nabi Mohammad Mustafa Sallalloho alehe w aley he Wasallam ka ehsas karlo ki yahan Piyare Nabi S.A.W. ki qabr aur Hazrat Abu Bakr Siddique r.t.a aur Hazrat Umar r.t.a. ki Qabren hain.   EHRAM =Allah ko Kafan ka rang Safed pasand hai kyonki Egg white hota hai, har rang ki murghi, kala kaua, Hara tota, Morni, har rang ki Birds ka Anda safed hi hota hai. Dhai meter ki do safed chadren bataye hue tareeqe se Ghusal karke pak saaf hone ke baad bandha jayega

 Phir Allah se talluq rakhne keliye dunia ki tamam masajidon ka rukh kaba ke taraf karne ka nizam banaya hai.Chehra, paer ki unglian kabe ki taraf goya zindgi bhar har Namaz mein kaba se rishta jorhne se tasawwur, KABA ka ehsas hota hai.

   

HAJ ke FARZ

 Maslan agar gala kat gaya to maut ho jati hai, sudhar mumkin nahin,  isi tareh farz chhootne se dobara haj karna parhega. Agar Wajib chhoot jaye to DAM kar ghalti sudhari ja sakti hai.

 Meeqat border par Ehram bandh kar Irada kar 3 bar Talbia parhna ab Niyat ke sath pabandi shuru ho gain jaise nakhoon katna, shampoo, sabun, khushboo ka istemal karna,Hambistari karna,Tez awaz mein baten karna yani ki Makka aur Madina ki sarzameen ki Izzat w Ehtram karen.

Mard ke paer ki Haddi dikhni chahiye, lihaza dopatti ki chappal pehnen, apne haed ki juoon ko pehle hi saaf karlen wahan nahi mar sakte

Aurton ka koi ehram nahin hai. Han face kholna aur sar dhankna hai. Piyare Nabi s.a.w. ne apni kamli aurat ko sar dhankne keliye de di thi. Lihaza  Ladies ko mashwara hai ki cap pehankar uspar dupatta orhlen, han wuzu karte waqt utar kar sar ka  masa karne ke liye utarna parhega.

Farz hain - Umrah ke tawaf ki niyat Karte hain, Ya Allah ise aasaan aur qubool kar deejiye) Kaba ke 7 Chakkar, Hajre Aswad (jannat se aya patthar) se shuru karen.

           Wajibaat - Misal ke taur par agar Accident ho jaye to haddi tootne par plaster ho tara hai aue aadmi sehatyab ho jata hai usi tareh koi wajib choot jara hai to Dam) karna yani ek bakra zibah karnehota hai. Is tarah se Haj mukammal ho jayega

Haram mein Babe Salam 24 N0. Gate se enter karen. Neechi nigah se kuchh 100 se 150 qadam chalen aur Left janib aage chalkar Muqame Mataf  par kharhe ho jaen aur phir pehli nazar KAABA par dalen ki foran Dua mangen ki ya Allah Futur mein jo bhi Dua mangoo qubool farma aur past ki zindgi mein tamam Gunah muaf farma. Aur khoob duaen mangen.

 Rakat Masjid ke AETKAF ki niyat se parhen taki masjid mein tamam activities aur Abe Zam Zam hala ho jaye.

2-  ISTILAM-Agar mauqa mile to Hajre Aswad ka bosa lete hue, ya chhoote hue, seedhe kandhe ko samne rakhte hue, kanon tak uthaen aur phir seene ke samne, Hajre Aswad ke parallel dono hath uthakar hathelia samne phailaen phir unglian choom len aur parhen “BISMILLAHE Allah o Akbar wa lillahil Hamd” se hi shuru karte hain. 8 bar Istelam honge.

Is baat ki ehtiyat barten ki KABA, Hajre Aswad ki taraf 

Seena aur Peeth n karen. Uska ehtram karen

 Note- Agar peshab, Pakhana, pet mein Dard koi bhi hajat ho to Tawaf mein  pone char chakkar ho jaen to Hajat se farigh hokar Wuzu ke baad dobara shuru karen agar char ho chuke to panchwan shuru  karen                         Satar n khule kyon ki haram hai 7 chakkaron ke bad 2 rakat parhen.

Rukne Hajre Aswad par tawaf se pehle Multazam par kharhe hokar Dua mangen.” Allaho Akbar wa Lillahil Hamd”  Pehla istelam karen aur pehla chakkar lagaen aur RAMAL karen yani Akarh kar chalen. Rukne yamani se Rukne Hajre aswad ke beech ki deewar ko kehte hain Mustjab  yahan 70 hazar farishte Aameen kehte hain. Is jageh ko choo len ya hath ooper karlen. Parhe “Rabbana Ayetena …..Parhen 4th chakkar mein ramal n karen. Ijtiba saton chakkar mein rakhna hai. Tawaf mukammal kar ijtiba khul jayega. Phir 2 rakat wajibul tawaf muqame ibraheem par parhen aur phir Dua parhkar ya Allah Ilme Nafa ata farma,Rizk ata farma, Shifa tandurusti ata farma. Aur phir momin ki tareh ser hokar ZAM ZAM piyen. Yad rakhen ki Munafiq Zam Zam kam peeta hai. Agar bar bar peshab se bachne keliye kam peete hain to koi baat nahin.SAI KARNA  NIYAT  aur DUA karen yahan haath uthakar jaise Dua mangte hain karten

SAI mein 4th kalma parhen.

1-HAJ karne ke mayene Irada karna hai

2- Umrah karne ka matlab KAABA ke charon taraf 7 chakkar batayi gayi tarteeb ke sath lagana (Tawaf) karna  aur SAI karna yani Safa Marwah ke 7 chakkar lagana hota hai.

8 Istalam (dono hath hajre Aswad ke parralel utha kar “Bismillahe AllahoAkbar wa Lillahilhamd” parhkar choomlen.

Note- Agar 1-2-3-4 (pone Char Chakkar) par peshab, pakhana ki hajat hoti hai to aap farigh hokar do bara wuzoo karke Hajre Aswad se pehla Chakkar lagana shuru karen, Agar 4 chakkar poore ho gaye to hajat se farigh hokar 5wan chakkar laga kar 7 poore karen

 Masjid mein entry par do rakat nifil Siratul masjid parhlen phir masjid mein rehna, har activity aur Abe ZamZam peena halal ho jayega 

. Zam Zam mayne thehar ja, ret ki barh lagati hai, restore karti hain.

Yad rahe ki Zam Zam 4000 saal se duniya pee Rahi hai, Haj ke doran Josh se uchhalta hua nikalta hai. 

           Charon taraf niyat karne keliye muqam ko meeqat kehte hain. 7 zilhijja se hi Muallim Arafat ke liye hajion ko nikalna shuru kardete hain. Chhota pitthoo beg mein Ehram, Bottle, folding chatai, sookha khana, Duaon ki kitab, Dawaen,sookhe mewe lekar chalen.  

i.           Chand ki 8 zilhijja se shuru.                  Farz Ehram, Niyat Haj karne ki Talbiya, 7-8 Mina ke maidan mein jana Sunnat SAW ne Haj ki tayyari ke liye aaram kiya) mein pahuncha Ro RoKar Dua  denge 9 zh ko doosra Farz  Arafat mein sooraj doobne se pehle nahin jana doosra Farz ab sirf Rona Allah Dil ke qareeb Allah ko manlen. Zawal se pehle tayyari Zohar ke baad 4 th kalma 100 bar, Qulhowallo ahad 100 Durood Shareef  3 Farz, 10,11, 12 mein sooraj doobne se pehle Tawaf e Ziyarat (10-11 mein hi Tawaf e Ziyarat) kar len to behtar hai. 8 wajibaat 9 ka sooraj doobne ke bad Muzdalfa jayenge Sunnat hai Shabe Qadr se qeemti hai. Duaen  karen kabhi bhi pahunchen tab Maghrib ki fikr n karen aap keliye muaaf parh len itminan sr Fajar ki namaz parh len. Wajib Fajar ke baad girhgirhana agar Fajar se pehle hi chal diye to bakra dam karna parhega. Entry se End Muzdalfa dekhlen 20 se25 minutes Dua           Wajib 2, 10 zh ko barhe Shaitan ko 7 kankariyan maren. Haj ke 6 din kankariya Marne ki ijazat hai.

  phir wajib 3-Qurbani Wajib 4-Halaq karaen

 

Mard baal qurbaan kar deejiye. Janwaron ki tareh kahin chhote kahin barhe mat katwao. Poore head ke bal murhwa deejiye to behtar hai.

Khwateen apni chutia ke 3 hisse karke, teeno ke aakheer ke porue ke barabar bal kat do.

Imam Abu Haneefa ke mutabiq yeh sab Tarteeb se karne hain.

6 Wajib Tawaf aur Sai kabhi bhi karen 7wajib 11, 12, ko Zaroori 13 tak tareekh ko zawal ke baad teeno shaitanon ko 7-7 din se raat tahajjud subeh Sadiq se pehle  kankariyan maren Wajib 8wan 
10 zilhijja ko Muzdalfa fajar ke bad 72 kankariyan chun len

Aur 7 kankariyan barhe Shaitan ko maren

Kankari marne ke baad  3 Qurbani 4 Halaq 5-     6 Sai 7- 11,12,13 ko zawal ke baad teeno ko kankariya marne ke baad kheme mein Aram karen, Maghrib ke  bad kankariyen marne jjaen,  Tawaf karen.

8wajib Tawaf e Wida

Allah Tawaf keliye jageh phaila di jati hai.     Kaba mein ham  Allah ke mehman aur Madeene mein "Sabar" SAW ke Mehman.     Madeene mein zyada se zyada Durood parhen. Rozana 2 rakat Shukrane ke 2 Rakat Siratul Tauba parhen.

Khoob girhgirha kar royen aur ghaltiyan, gunah muaf karalen.

RIYAZ UL JANNAH
Jab Huzoor ro rahe the ki sab choot Raha hai to Jibrail AS Masjid mein aye aur samjhaya. Ki yahan musalmanon ke aane par taqyamat  sawab milega. jao madine mein yahan Jannat ka Paharh (Jo member se Ghar ke beech ka  hissa jise Riyazul Jannah kehte hain. Yahan par Sutoon e Ayesha, Sutoon e Hannan khajoor ka ek perh khitab karte tha.

Ek  Aurat ne kaha ke Huzoor ko kharhe rahkar dard hota hoga to ek  kursi banai tabhi se yeh Member shuru hua  khajoor ka perh roya mein Jannat ke sath rehna chahta hoon Jo yahan kuchh waqt mil Jaye to sawab milta hai. SAW aapke Durood parhne par jawab detehain aur Tauba qubool karne ka wayeda dete hain.  

Doosra soorakh Hazrat Abu Bakar Siddiqui r.t.a aur teesra soorakh Hazrat Umar r.t.a. ka sab ko Salam kariye

 Miswak ka kasrat se Istemal kariye   

-farz chhutega to do barah 8 wajib mein chhotega to ek bakra ka dam.

 

Assembly Hall mein Dyrector Minority Welfare, Aligarh Mandal ka istaqbal karte Dr. Masood Ahmad

No comments:

Popular Posts