Monday, October 23, 2023

206th SIR SAYED DAY MUBARAK HO

 

A PAINTING OF Sir_Syed_Ahmad_Khan


Tomb of Syed Ahmad Khan in AMU Jmama Masjid 

206th SIR SAYED DAY

ISHARAT INTER COLLEGE Shahjamal Aligarh mein manaya gaya

Reported by Dr. Masood Ahmad 

pleasevisit--www.salamevatan.org

18th sadi mein Ulema ne hi jihalat 

aur jahliyat ke daur mein musalmanon ko zati mafad mein apna manpasand, mangharhant, zaeef hadeeson par mubni Taleem de kar Islam Mazhab aur Musalmanon ka bahut nuqsan kar rahe the ki 

Allah ne 2 Frishta sifat ulema ko is dunia mein bheja

1-Mualana Qasim Nanotwi jinhon ne Darul Uloom Deoband qayam kya

2-Sir Sayed Ahmad khan jinhone Munsif Magistrate ke auhde se isteefa dekar Madersstul Uloom qayam kiya jo upgrade hokar Mohammadan Anglo Oriental College bana aur upgrade hokar 1920 mein Aligarh Muslim University wujood mein aayi

Sir Syed ne ulema ki munderja zail jahliyat bhari de gayi taleem ki mukhalfat kar Quraan aur Hadees ki Taleem di jis se naraz hokar ulema ne Kafir ka Fatwa tak de dala

  1-Ginti (Counting)1,2,3,4,5……….shaitani ilm hai. ise seekhna gunah hai.

2-Musalmanon ka Angerezi, Engish, Hindi, Sanskirat yani Arbi, Urdu ke alawa  seekhna gunah hai.

3-Meerut mein Ulema ne tai kiya ki Taleebat (Girls), Khwateen ka ilm seekhana w sikhana mana hai.

4-Sir Syed aur unke rufqa ke zor dene par Ulema maan gaye achchha unhen parha to do magar likhna na sikhao warna woh bigarh jayengi

Sir Syed ne apne dost Shaikh Abdullah "Papa Mian" aur unki ehliya Aala Bi ke zariye Girls aur Khwateen ki taleem ke liye Abdullah Girls School, College aur Womens College qayam kar diya.

5-Press mein Quraan, Hadees, Islamic Literature, kitaben chhapwana gunah hai

6-Quraan ILM ko 2 khanon mein baant dia

1-DEENI ILM

2-ASRI ILM 

Quraan mein tamam ilm samaye hue hain magar ek Aalim ne fatwa dekar Quraanic Ilm ko bhi dopharh kar diya

1-Deeni ilm yani ibaadaat (Farz e Ain), Zaroori hai, Ulema ke mutabiq tamam Madaris Zakat, Sadqaat, Khairat ke mustahiq hain magar asri taleem wale nahin.

Job- Mudarris qayam karna aur usmein parhana, Masajid mein Imamat karna,

Hamari jahil awam ne yeh hi samjh liya sirf Deeni ilm seekhna hi farz hai.

2-Dunyavi ilm- Farz e Kifaya Ulema ki nazar mein iske husool keliye Zakat dene ki Zaroorat nahin, Zaroorat ke tehat seekh leejiye, baqayeda Universities mein seekhne ki kya zaroorat hai?

KITNE MADRSON MEIN ASRI TALEEM Ka INTZAM hai? 

Kitne taleebat (Girls) aur khwateen keliye madaris hain ?

maslan Zindgi ke har shobe mein kam aane wala ilm-Science, Technology, Arbi, Urdu, Pharsi parhkar aasani se Urdu journalism, Arts, Fine Artss, Calligraphy, TIB, Hikmat, Dawakhane, Unani Dawaon ki Manufacturing, Tibbiya College ki taleem madaris mein di jani chahiye,

Teachers Training, School, Handycraft, Food Making, Press, Modern tareeqe se Shijarkari, Kashtkari, Darzi ki dukan se zindgi aasani se guzar sakti hai. Health & Hygiene, Business, Transport, Kal-Karkhane, Hunar se Kaam Udyog Dhandhe ki Taleem ka Madaris mein koi zaroorat w qayam nahin ki gayi.

7-Ulema ki mukhalfat ke bawajood Sir Syed ne Hindusta mein ek misal qayam ki, ki ek hi masjid mein Shia aur Sunni namaz ada karte hain jabki ulema hazrat Shia aur Sunni ke liye alag alag masjid qayam karna chahte the.

8-ek hi faculty mein ek hi chhat ke neeche Sunni aur Shia Theology parhai jati hai.

9-muslim ulema ne sirf Sunni jamat ke liye Syllabus tayyar kiya tha magar Sir Syed ka broad vision tha 

10-Ulema Co-Education ke khilaf hain jabki lakhon Muslim larhkiya hijab mein Hindustan ki tamam Universition mein parhti aur parhati hein

11-Quraan mein aasman ki bulandion aur Samundar ki gehraion mein ghoro khos (Research) karne keliye kaha hai. Ulema ne undekha kar dia jabki Sir Syed ki AMU mein hazaron mardon ke saath saath hazaron Khwateen ne har shobe mein research kar naam kamaya hai.

12- Madaris mein khel kood (Sports) ki koi soch nahin hai. 

Jabki AMU ne National aur International khilarhi diye hain.

13-Madaris mein Laboratory aur Libaarery nahin ke barabar hain

jabki AMU mein International Laboratory

qayam ki hain

Nono Technology mein International Lab hai 2022 mein International Conference hui thi

Medical College mein Prof. Mehdi Hasan sb ne Germany ke taawun se Trapizius Muscle eijaad ki thi. International Awards ki bhi tadad kafi hai.

NOTE-Hindustan mein lakhon madaris hain, magar un mein

KITNE ITI, Unani Dawakhana, Rozgar center qyam kiye?

In madrerse se phargheen ko khudkafeel n hone ki wajeh se hi to Zakat ke liye asataza aur ulema ko commission paar dar dar jaane ki zaroorat parhti hai. Kuchh darhi wale jahil bhi farzi raseedbook chhapwakar zakat loot rahe hain jo kuchh pakrhe bhi haye hain.

Sir Syed ke saathI

Maulana Altaf Husain “HAALI”, Maulana Shiblee Nomani, Allama sir Mohammad Iqbal, Mashhoor Shayer Akbar Allahabadi, Sir Prof. Ziauddin, Nawab Viaqar ul Mulk, Nawab Mohsinul Mulk, Maulana Zainul Abedeen, Maulana Hasrat Mohani, Molvi Khuda Baksh, Molvi Samiullah, Mohtaram Hadi Hasan, Moulvi Abdul Haq hi nahin Mirza Ghalib, Nawab Begam Sultaan Jahan, Nwab Chhtari, Nawab Daanpur, Nawab Bheekampur, Nawab Pahasoo waghaira.      

 

He was an influence on several political leaders, thinkers and writers such as Muhammad IqbalAbul Kalam Azad,[158] Sayyid Mumtaz Ali[159] Altaf Hussain HaliShibli NomaniNawab Mohsin-ul-MulkChiragh Ali, and Nazir Ahmad Dehlvi.[160]

The university he founded remains one of India's most prominent institutions and served as the arsenal of Muslim India. Prominent alumni of Aligarh include Muslim political leaders Maulana Mohammad Ali JouharAbdur Rab NishtarMaulana Shaukat Ali . The first two Prime Ministers of PakistanLiaquat Ali Khan and Khawaja Nazimuddin, as well as Indian President Dr. Zakir Husain, are amongst Aligarh's most famous graduates. His birth anniversary is celebrated as Sir Syed Day every year by the university and its alumni.[161]

Several educational institutions in India and Pakistan such as Sir Syed University of Engineering and TechnologySir Syed CASE Institute of Technology and Sir Syed College, Taliparamba are

Sir Syed duniya ke liye Samaj Sudharak, Quraan, Hadees ki Roshni mein Modern Education (Science,Technology, Philosphy, Artificial Intellegency) mein Research karane wale ek Ideal Ustad ki haisiyat se bheja tha. Unhone ek soch qayam ki ki ek haath mein Science, tamam uloom doosre haath men Phalsafa aur sar par kalma Tayyaba ka taaj “La Ilaha illal lah, Mohammadur Rasool Allah hoga to zindgi khoobsoorat aur Khushnuma ho jayegi aur Allah apni qurbat aur Taqwa ata farma dega, InshaAllah

Born17 October 1817
Died27 March 1898 (aged 80)
Other namesSir Syed
Notable workThe Mohammadan Commentary on the Holy Quran (tafsir on Quran).
ChildrenSyed Mahmood
RelativesRoss Masood (grandson)
Awards Star of India
Era19th-century
SchoolIslamic and Renaissance philosophy
InstitutionAligarh Muslim University

Signature


No comments:

Popular Posts