DR. MASOOD AHMAD STUDENT KO SIR SYED CERTIFICATE DETE HUE
ALIGARIAN CH. GHULAM RABBANI STUDENT KO SIR SYED CERTIFICATE DETE HUE
COUNCELLOR MUSHARRAF HUSAIN MEHZAR STUDENTS KI TARBIYAT KE LIYE TARANNUM SE NAZM SUNATE HUE PROF. QURRATUL AIN TULBAAT KE SAATH AMU UNIVERSITY TARANA SUNATE HUE
Tuesday , Octuber 17, 2023 at 11 am
ISHRAT INTER COLLEGE KE PRINCIPAL DR. SHAIQ ALI NE SIR SYED DAY KI KHOOBSOORST MEHFIL MUNAQID KI. MEHMANAN KI GULPOSHI KI
Dr. Masood Ahmad, President, SEWA Trust ne sadarat karte hue kaha ki Sir Syed r.a. ne Aligarh Muslim University isliye qayam ki, ki yahan parhkar Musalman Compitent aur complete muslim, Perfact Professional, Khidmatguzar Leader banen, aur ek achchha insaan banen, achchhhaion ki dawat den aur buraion se roken. University ke Hostel mein Islami Tarbiyat hasil kar parhosion, Rishtedaron, matehton, aur awam ko nafa pahunchane wala banen. Yahi wajeh hai ki dunia ke har khitte mein Aligarian ILM aur Piyar Mohabbat ki roshni phaila rahe hain.
Prof. Qurratul Ain Ali : Deptt. of Social Work Aligarh Muslim University, Aligarh ne kaha ki pehle zamane mein jihalat ki wajeh se khwateen mardon, sas, susar, nandon ke zulm ka shikar hoti rahi hain. Us ka kaam ghareloo kaam kaaj karna, Khana banana kaprhe dona aur safai ka kam yani ki 24 ghante nokrani ki tareh kaam karti theen aur mardon se bacha khana khud khati theen. Ek ek Paise ki mohtaj theen. Apna dil masos kar reh jaati theen. Yad rahe ki zulm karna aur zulm sehna dono hi kharab hain. Taleemyaphta mard w aurat n zulm karega aur n sahega.
Waise to Islam Mazhab mein mard kaa kaam job karna kamana hota hai aur khatoon ka kaam ghar girasthi sanbhalna hota hai.
Magar Hadees pak ka mafhoom hai ki “Har mard aur aurat ka ILM seekhna Farz hai.
Agar family par naa masaid halat aa jaen to Khatoon aage barhkar job kar girasthi tootne aur bikharne se bacha leti hain. Apni manpasand zaroori saman khareed kar khushhaal zindgi guzar saken. Family, Husband ko economically madad, support kar sakti hain.
Professor Ali ne tamam larhkion se haath uthwakar mehnat, Lagan se higher education hasil kar job karne ka halaf dilwaya.
Is zamane mein khwateen taaleem hasil kar IAS, IPS, Doctor. Engr. (NAASA) chand par ja rahi hain. Har shobe mein job kar apne pairon par kharha hokar family ko khushian baant rahi hain. Taaleem hasil karne par kisi ki himmat nahin ho sakti ki aapke saath koi ghareloo hinsa, beizzati karne soch bhi na sake..
Guest of Honour Ghulam Mohammad Rabbani aur Councellor, mashhoor shayer Musharraf Husain Mehzar ne kaha ki future mein wahi insaan zinda rahega, khushhaal zindgi guzar basar kar sakega jo sirf parha likha hi nahin balki saath mein Computer, Science, Technology ka ilm hasil kiye hue hoga. Aaj anparh aur jahil log bhi mobile, digital lenden aaram se kar rahe hain
Tulba w Taleebat ne AMU TARANA aur Rashtriyegaan sunya.
Dr. Shaiq Ali, Principal Ishrat Inter College ne mehmanan ka shukria ada kiya aur sab ne “Sir Syed Lunch” nosh Farmaya
No comments:
Post a Comment