Wallahaalam Indian TV(Godi Meedia) jo Talibaan ke zulm barha charha kar dikha rahe hain woh jhoota hai ya sahi, yaqeenan Islami tareeqa nahin ho sakta.
Nahin, Hargiz Nahin! Islam Mazhab mein Piyare Nabi Hazrat Mohammad Mustufa s.a.w. ki
Sadgi se guzri Zindgi jise Shariyat e Rasool kehte hain usmein Piyar-Mohabbar,
Sachchai-Eimandari, Eisaro-Qurbaani, Ghaltion ko Muaf kardena yani ki Sila-Rehmi, Dayanatdari
(Mamlat mein pak w saaf, Eimandar hona), Mehman Nawazi, Khush Akhlaqi,
Islam
HABBUL WATNI MINAL EIMAN sikhata hai. Jo bhi bahrtiye Nagrik Sanvidhan ko nahin
manta, uspar amal nahin kareta woh sachha Bhartie nahin ho sakta. Who sachcha
Hindu/ Musalman bhi nahin ho sakta.
Doosre mazahib ke
logon, unke buzurgon, unke mazhabi pooja isthalon, Mandir, Masjid, Church,
Gurudwaron ko bhi Izzat w Ehtram dena, Ek Doosre ke Dukh w Gham, khushion mein
sajhedari w bhagidari, Parhosion se Husne Sulook aur unki Khidmat karna hota
hai,
Buzurgon, Khwateen ki Husne sulook ke sath kifalat aur
Bachchon ke sar par Shafaqqat aur us ki Islami Taleemo -Tarbiyat, Talaqshuda aur
bewaon ka Nikah saani kar unko behtreen Ajdwaji Zindgi guzarne keliye Khushian
fraham karna hai,
Yahi Pakka aur Sachcha Mazhab e Islam hai.
TALIBAN bhale hi kisi
Khatoon ko Minister n banaen magar unki koi numaindah Khatoon aage aakar ehtjaj
kar rahi khwateen ko yaqeen dilaye ki aapko Insaaf milega, Izzat w Ehtram
milega jaisa ki Shariyate Rasool s.a.w. ke zamane mein milta tha. Shukr hai ki
abhi tak khwateen par bandooq hi taani hai magar goli nahin maari.
India ke godi Media par
jo Modern Afghani khwateen, yeh Dancer, Beuti Parlour, Music Teacher, TV Ancor panel
discussion mein Afghanistan ki burai kar rahi hain. woh bhi Islam Mazhab/
Taaliban ke khilaf hi dikhai deti hain Woh Habbul Watni Minal Eiman ke khilaf
ehtijaj karna bhi munasib nahin hai. Unhen Afghanistan chhorh kar aise country
mein jana chahiye Jahan aapke huner ki qadar ho, zaroorat hai, job mile. Who
jaan len ki yeh media apko istemal kar raha hai inse aapka bhala hone wala
nahin hai. aap apni baat saleeqe aur discipline mein rakhiye.Memorandom
deejiye.
No comments:
Post a Comment