AMU Old Boy’s (Alumni) Association, Aligarh
aur Aligarh Martial Arts Academy Aligarh
ne 29th -30th November 2023 ko milkar
“Inter School Open District Taekwondo Championship 2023”
AMU GYMNEZIAM COACH MAZHAR UL QAMAR TAEKWONDO AUR MARTIAL ARTS ke bare mein batate hueAMU, PRO Umar saleem peerzada ki beti AYEZA action mein (Blue Helmet) mein
Chief Guest Raees Ahmad Taekwondo Championship ko shuru karte hue
Old Boy’s Lodge AMU Aligarh mein munaqid ki gayi. Programe ki sadarat AMU ke PRO Mr. Umar Saleem Peerzada ne ki, Nizamat AMU Gymnaziam keCoach Mazhar ul Qamar ne ki.
Mr. Rais Ahmad PCS
Chief Guest Dy. Commissioner (GST) Aligarh
ka Purtpak istaqbaal Programe Incharge Dr. Azam Meer Khan aur Dr. Masood Ahmad ne Phoolon ka guldasta pesh kiya.
Dr, Azam Meer Khan ne Old Boy’s Lodge ke maidan mein Mehmanan, APRO Zeeshan Ahmad, Participents, unke gaurdians, Aligarh aur bahar se aye SportsTeachers, Taekwondo aur Martial Arts Academies ke 25 Coach, Staff aur Guests se bhare zamme ghafeer ko khitab karte hue Programe ke aghrazo Maqasid, AMUOBAssociation, Academy ka Introduction karaya aur sab hazreen ke liye Welcome address diya.
Nizamat karte hue Mazhar ul Qamar ne bachchon ko Taekwondo aur Martial Arts ki history batate hue kaha ki
Father of Taekwondo JIMMY JITYANI
Ne 1978 mein yeh khel shuru kiya tha uske baad India ke Prime Minister Rajeev Gandhi unhen India lekar aaye aur IInd Class Lucknow mein munaqid ki.
Fakhr aur khushi ki baat hai ki IIIrd class AMU ke Staff Club mein ki gayi.
1901 mein Aligarh Muslim University ki Taekwondo aur Martial Arts NCC team ne Republic Day ki Paread mein shamil hokar AMU aur Desh ko izzat, maan samman dilaya.
Mazhar ul Qamar sb ne kaha ki Martial Arts ek bahut hi achchha khel hai. Log hamesha yeh sochte hain ki yeh mardharh ke liye seekha jaata hai. Mera manna yeh hai ki yeh bahut achchhi Exercize hai isse jism mein chusti furti aati hai, kharab FAT dessolve ho jati hai aur weight, Blood Pressur, Heart sab normal rehta hai aur bhaichare ki bhawna paida hoti hai. Sehan shakti paida hoti hai, Mind broad banta hai aur achchhe khyal aate hain, Zindgi kushi khurram guzarti hai.
Han agar zaroorat parhe to apne self defence mein bhi aap ise use kar sakte hain.
Chief Guest Rais Ahmad ne khitab karte hue kaha ki bachchon mehnat, Lagan aur sadbbhawna se is khel mein maharat, kamyabi hasil karo. Meri dua hai ki aap log International Games, comptition mein Gold Medal jeetkar BHARAT ka naam roshan karo.
Dr. Azam Meer Khan ne A.M.A. Academy ki Vice President Ms. Taskeen Zaheer, Secretary general Asrar Ahmad, President D.T.A Irfan Raham Ali, AMUOBA ke CEC Dr. Masood Ahmad, Rashid Mustafa, Mohammad Yaseen, Raees Ahmad ki moujeedgi mein Mehmanan Rais Ahmad aur Umar Saleem Peerzada ko Momento dekar sammanit kiya.
AMUOBA ke Vice President Dr. Noorul Ameen, Joint Secretary Mr. Shahbaz Khan urf Shabbu, CEC Kashif Tariq, AMU Students Union ke Ex President Dr. Shahzad Alam Barni, Dr. Ehtisham ul Haque waghaira ne bhi shirkat kar palyers ki honsla afzai ki
No comments:
Post a Comment