Friday, November 10, 2023

Sare Jahan se Achchha- Allama Iqbal

 Dayar -e- Ishq mein apna Muqaam paida kar,

Naya Zamana nae Subh-o Shaam paida kar

Dunia mein mashhoor Philosphar, Educationist, Aalim-Fazil, Shaiyre Mashriq, Famous Shohra e Aafaq Shakhsiyat,  Renowned,  Legendary Popular Mohibb e Watan Dr. Allama Iqbal ke naam se jaante hain.

-inki wiladat ka din hai 9 November 1877

jise ham URDU DAY ke naam se manate hain

-Shaikh Mohammad Iqbal Siyalkot mein paida hue

 -Allama Iqbal ke walid Shaikh Noor Mohammad Kashmeeri Tajir the

 -Walida ka naam Begam Imam Bibi Home Maker

-Brahman Khandaan

-300 saal pehle Islam qubool kiya

-Watan Dost, Hubbul Watni minal Ieeman

-Aligarh Muslim University ke Founder Sir Sayed Ahmad Khan ke khas Musheer the.

-jab Hindustan ke Ulema-e Ikram ne Sir Sayed ko kafir kaha aur unki hansi urhai to Allama Sir Iqbal Har waqt unke saye ki tareh unki hifazat karte the,  

 

Shaheena Khan ne likha hai-

Wo h Hindustan mein Qaumi Ittehad, Bhai Chara aur Masawat (Barabari) paida karna chahte the.

 

“Ek hi saf mein kharhe ho gaye Mamood o Ayaz,

N  koi  Banda  raha  n  koi Banda Nawaz”

 

-Urdu, Pharsi mein Quraan aur Hadees ki roshni mein Shayery dunia ko pesh ki.

“Khuda ne aaj tak us Qaum ki halat nahin badli,

N ho jisko khyal aap apni haalat ke badalne ka”

-Naghme, Nazmein, Marsiya likhe wahin Falsafyana aur Tanziya Shayry bhi ki

-Umar Khayyam ki tareh unhon ne Rubaiyan bhi likheen

-Un ki Falsafiyana shayery Farsi ke Azeem Aalim Jalaluddin Roomi ki yaad dilati hai, aur unki Razmiya Shayery ka muqabla Dante aur Milton se kiya jaara hai

Iqbaal ki Watan se purjosh, Sachchi Mohabbat ek misaal hai jo unke likhe Tarane se sabit hota hai.-----

“SARE JAHAN SE ACHCHHA HINDOSTAN HAMARA”

“RAM HIND”, NAYA SHIWALA, MERA WATAN WAHI HAI unki chand misalen hain

Yad kejiye hamare Rehnuma jild haftam, safah 31-32                          Qaumi Awaz se Shukriya ke saath

No comments:

Popular Posts