Sunday, April 18, 2021

APPEAL: ZAKAT for ORPHANAGE

 

                SIR SAYED AHMAD KHAN -FOUNDER OF ALIGARH MUSLIM UNIVERSITY

S.E.W.A. TRUST (Reg.) ne Village Sherpur, Anoopshahar, Distt. Buland shahar mein SIR SAYED BACHCHON KA GHAR (YATEEM KHANA, ORPHANAGE) qayam kiya hai.

Shaikh Rais ke zariye Pehle se qayam Sherpur mein ek maderse ko adopt kar liya hai. jis mein class lagengi. Uske barabar hi ek beegha zameen SEWA TRUST ne Rs. 2 Lac mein khareed li hai jismein SIR SAYED BACHCHON KA GHAR (YATEEM KHANA, ORPHANAGE) qayam kiya ja raha hai. jis mein 5 se 10 year old yateem bachche Covid 19 ke Lock Down ke baad rahne keliye aajayenge.

Aap hazrat se appeal hai ki zyada se zyada apni ZAKAT, SADQAT aur IMDAD YATEEM KHANA ko dekar sawabdaren hasil karen.

Yeh khidmat aapki apni, apne bachchon ki, apni family, apne mulk w millat ki khush hali ki zamanat hogi. Allah apni Rehmat se apki zindgi aasan hogi, Allah sehat, hifazat, taraqqi ata farmayega. Tension se bachaega, Zindgi khushhal ho jayegi.

Note-apne walden ke Eisalo Swab ke liye jo raqam denge unke naam ka patthar nasb kiya jayege taki unhen Swab e jariya milta rahe. Jaisa ki Aligarh Muslim University ki deewaron par chanda dene walon ke naam ke patthar likhe hue hain.

Chande ke naam par kuchh log Sir Sayed ki hansi urha rahe the magar kuchh log tareef kar DUA de rahe the:-

“Ji mein aata hai ki Aligarh ja kar Sayed se kahoo, 
Mujh se Chanda leejiye mujh ko Musalman keejiye”.

Yad rahe ki kisi ke marne ke bad woh amal kaam aata hai jo usne bazate khud kiya ho ya phir woh amal jo marne ke baad uski nek aulad uske Eisale Sawab ke liye kharch kare.

Sir Sayed Ahmad Khan said:—
Falsafa hamare dahine hath nein hoga, Natural Science hamare baen haath mein aur KALMA Tayyaba : LA ILAHA ILLALAH ka taj hamare sar par hoga.

“Sabaq phir parh Sadaqat ka, Adalat ka, Shujayat ka,
Liya jayega tujh se kaam dunia ki Imamat ka” !

Sab taraqqi ki jarh yahi hai ki sab se pehle ILM ke khazanon ko apne qaboo mein kar lo.

Agar Govt. ne hamare kuchh huqooq ab tak ham ko nahin diye hain, jiski ham ko shikayat hai to bhi High Education woh cheez hai ki sarkari fayde ham ko khud b khud mil jayenge.

Paighame Rabbani—Zakat ke 8 masarif

Qur aan: Aur jo log Sona aur Chandi jama kar ke rakhte hain aur usko Allah ki rah mein (Zakat) kharch nahin karte hain , unko Ae Nabi S.A.W. dardnak azaab ki khabar suna deejiye.

Hadees-Bukhari shareef :Allah ne maldaron par Zakat aayad ki hai, jo maldaron se wasool kar zaroorat mandon ke darmiyan taqseem ki jaigi-

Yeh Zakat, Sadqat, darasal mundarja zail logon ki khidmat ke liye hein. Allah chahta hai ki Ramazan (Finencial Year) se Ramzan (Finencial Year) tak apne tamam jaiz kharche poore karne ke baad jo raqam bachti (Saving) hai uspar Dhai percent raqam mundarja zail mustahiq musalmanon ko 8 madon mein dhoond dhoond kar taqseem kar di jaey.

1-FAQEER (Jo Allah ki ibadat mein sab kuchh bhool jaye, koi khilade to kha leta hai aur n khilaye to bhooka so jata hai magar kisi ke samne haath nahin phailata hai, pehle aise faqeer, durvesh hote the, Is Zamane mein koi Faqeer Nahin Hai)

2-Misakeen- is mad mein hi bahut zayada musalman zakat ke mustahiq hote hain jinmein YATAMA (Orphen), Widowes, Talaqshuda Khwateen, ghareeb Beemar,

3- Aamleen (Office Bearer, Office Maintenance)

4-Taleefe Qalb (Allah ko n manne wala, sharabi, zaani sudhar kar Allah aur Allah ke Rasool S.A.W. ki Shariyat par Zindgi guzarna shuru karde, uski bhi madad kee ja sakti hai.

5-Ghulamon aur Qaidion ki gardan chhurhana-Pehle zamane mein Ghulam, Londyan bika karte the. Khareedne wala unse bahut kaam leta tha aur zulm dhata tha. Zakat se uneh khareed kar unhen azad karaya jata tha.

6-Qarzdaron ke Qarz ada karne mein madad karna. Maldar log Qarz dekar bahut kaam lete the, Zulm karte the. Sahibe haisiyat log Zakat se qarz chukta kar unehn azad karate the

7-Rahe Khuda mein-kuen khudwana, Handpump lagwana, Quraan, Hadees, chhapwakar bantna, Deen e Islam ki Ishayat karna.

8-Musafiron ki madad karna-Station , Bus Stand par saman chori hojana, jeb katjane par use khana khilana aur ticket dila kar uske ghar pahunchwana.

No comments:

Popular Posts