Wednesday, February 7, 2024

Ex governer Satey Pal Malik

 

 Aligarh Loksabha seat par SATEY PAL MALIK ko larhaya jaye- Dr. Masood
Samaj Sewi aur AMU old boys Association ke CEC member Dr. Masood Ahmad ne mashwara Diya hai ki Aligarh Lok Sabha seat Congress ko mile ya SP ko, yahan koi Aisa candidate utarna chahiye jiska rishta Aligarh se purana raha ho. Jammu- Kashmeer ke sabiq Governer, aur LokSabha se bhi Jeet chuke Hardil Azeez Leader Satey Pal Malik ne Aligarh wasion ko Delhi, J&K, Meghaley Jahan bhi rahe hon izzat di hai aur INDIA ke kisi bhi sooba ho ya zila phone kar Kar kam  karaya hai. Guest house mein thehraya hai aur Qayam, Tuaam ka ehtimam kar pazeerai. Khidmat ki hai.
Allah ne unhen Eimandari, Secular, Democratic, Ghareeb, Mehroom tabqa Hindoo ho ya Musalman har mazhab ke manne walon ki khidmat ki hai.
 Kisanon ka Delhi mein Dharna har mauqe par Prime Minister Shri Narendar Modi ko salah mashwara Diya tha magar PM ne unhen chup rehne ko kaha.
Kapil Sibbal ko interview dete hue kaha ki J&K mein yeh sab partian media mein to ek to ho rahi theen lekin mil kar sarkar banane ka koi Letter nahin Aya. Modi ji ne sarkar dissolve kar di uske doosre din Letter mila.
Afsos mujhe yeh pata nahin tha ki J&K ka state ka darja khatam kar territory bana denge aur Laddakh ko alag kar denge, ek khoobsoorat soobe ko badsoorat shakal de denge.
Unhone Jo interview Diye hain  aankhen kholne wale hain.
In sab ko ghor o khoz karne par yahi awam ki aawaz hai ki Shri Satey Pal Malik ji ko Aligarh se Lok Sabha election larhaya jaye. Hindoo hon ya Musalman, Sikh hon ya Crestian, Jaat hon ya Thakur, Khair, Jattari,  Baroli, Koil ho ya Iglas, Atroli har Voter ke dil mein Shri Satey Pal Malik rehte hain.
        Mujhe ummeed hi nahin Kamil yaqeen bhi hai ki hamare National leader Akhilesh Yadav, Jayant Chowdhary aur Rahul Gandhi bhi, Hamsab milkar Satey Pal Malik ji ko jitayenge 

Elected Member of Parliament from 1952 to 2024.
1952 Seth Shri Chand Sighal, Congress
1957 Jamal Khwaja, Cngress
1962 Budh Priye Mauriye, Republican Party
1967 Shiv Kumar Shastri, Bhartiye Kranti Dal
1971 Shiv Kumar Shastri, Bhartiye Kranti Dal
1977 Nawab Singh Chauhan, Janta Party
1980 Indera Kumari, Janta Party
1984 Usha Rani Taumar, Congress
1989 Satey Pal Malik, Janta Dal
1991 Shiela Gautam, BJP
1996 Shiela Gautam, BJP
1998 Shiela Gautam, BJP
1999 Shiela Gautam, BJP
2004 CH.Bijendar Singh, Cong
2009 RajKumari Chawhan, BSP
2014 Sateesh Gautam, BJP
2019 Sateesh Gautam, BJP

27 Lakh Voters will chose MP of Aligarh
Male-14 Lakh,70, 644
Female-12 Lakh,88,435
IIIrd Gender-136
Nojawan -36,000 (18-20 year) They will vote for the first time.
District Aligarh (Assembly Area)-Khair, Baroli, Atroli,
Chharra, Koil, Aligarh City, Iglas.

No comments:

Popular Posts