Tuesday, February 6, 2024

KHAN ABDUL GHFFAR KHAN

 MEDICAL & FITNESS CERTIFICATE FREE & AASAN

Sarkari Hospitals mein Haj Yatra keliye Free

Report by Dr. Masood Ahmad

Mein apni ehilya ke sath Malkhan Singh Zila Hospital mein Haj yatra keliye Medical & Fitness Certificate banwane gaya to bahut khushi hui ki sarkar ki taraf se adesh aye hue hain ki Haj Yatrion ko asani se cetificate bana dIYA JAYE.

Iske liye Room no. 103 Naveen sb ko zimmedari di gayi hai.

Ham iske liye UP Sarkar ka Shukriya ada karte hain.

 

BHARAT RATAN KHAN ABDUL GHAFFAR KHAN

 

1890, 6 feb ko “Tehreek e Azadi” Hindostan ko angrezon se azad karane ke Azeem u shan rehnuma KHAN ABDUL GHAFFAR KHAN JO SARHADI GANDHI ya BAJA KHAN ke nam se bhi jane jate hain paida hue the.

Deeni, Primry taleem ghar par hi parhi aur phir Municiple Board School Peshawar aur Mission High School mein zere taleem rahe. Metric High School ke bad Army Fauj mein bharti ho gaye. Magar angrezi fauj ka Hindustani faujion ke sath Haqeer, Kamtar aur Zillatbhara, bizzati karne wala sulook dekhkar unhon ne fauj se isteefa dev diya.

1921 mein unhonn e SAMAJI & ISLAHI tehreek (Mission) ka aaghaz kiya. Jiska maqsad apni Qaum ki Islah aur use Taleem se aarasta karna tha.

1929 mein unhon ne apne sathion ke sath “Khudai Khidmatgar” nami tanzeem ki buniyad rakhi. Is tehreeq ki kmyabi ke sabab unhen aur unke sathion ko tashaddud, marpeet ka nishana banaya gaya aur 1919 mein pehli baar baja khan ko Jail mein dal kar sataya gaya.

1920 mein badtareen halat hone par unhon ne “MAHATMA GANDHI” aur Indian National Congress ke sath ilhaq (Join) kar liya.

Aazadi ke baad KHAN ABDUL GHAFFAR KHAN ko AMAN ka NOBLE AWARD se nawaza gaya.

1987 mein aap pehle shakhs hain jin ko Hindustani shehri n hone ke bawajood “ BHARAT RATAN “ award se nawaza gaya.

20 January 1988 ko Khan Abdul Ghaffar Khan ka inteqal ho gaya aur aap ko wasiyat ke mutabiq JALABAD AFGHANISTAN mein dafan kiya gaya. 

No comments:

Popular Posts