bاپ نے بیٹے کو امریکہ بھیجا جو وھاں رھائش پذیر ھوگیا۔ کچھ عرصے بعد باپ نے
BAAP NE BETE KO
AMERICA BHEJA JO WAHAN JOB KAR WAHIN REHNE LAGA. یٹے
کو خط لکھا اور پوچھا: بیٹا! امریکہ کیسا لگا ؟
بیٹے
نے خط کا جواب کچھ ایسے دیا؛
BAAP NE BETE KO KHAT LIKHA AUR POOCHHA,
BETA AMERICA KAISA LAGA ?
JAWAB—MOHTRAM WALID SAHAB,
ASSALAMU ALAIKUM
YAHAN MAZHAB SE SAROKAR NAHIN
LARHKI WAFADAR NAHIN
MAUSAM KA AETBAR NAHIN
ZAMEEN HAMWAR NAHIN
HAMAKNAR NAHIN, KHULOOS NAHIN
BADALNE KO TAYYAR NAHIN
WAQT MADADGAR NAHIN
HALAT SAZGAR NAHIN
YEH KI AMERICA KOI SHAHKAR NAHIN
GHARZ YEH HAI KI SHUKRGUZAR
NAHIN………….ALLAH
محترم
والد صاحب ! آپ نے پوچھا ھے کہ مجھےامریکہ کیسا لگا ؟
یہاں
زمین ھموار نہیں، موسم کا اعتبار نہیں،
لڑکی وفادار
نہیں، -مذھب سے سروکار نہیں،
خلوص سے ھمکنار
نہیں،
بدلنے
کو تیار نہیں، وقت مددگار نہیں، حالات سازگار نہیں،
اللہ کے
شکر گزار نہیں، غرض یہ کہ امریکہ کوئی شاھکار نہیں۔
مگر
انکی چند اچھی باتیں بھی ھیں:
MAGAR INKI CHAND ACHCHHI BATEN BHI HAIN
BETI KOI BAR NAHIN
SARHAK PAR GHUBBAR NAHIN
RASOOMAT KA MEENAR NAHIN
FIZOOL TYOHAR NAHIN
PABANDI E WAQT NAHIN
KOI SHAKHS BEKAR NAHIN
NALON PAR QATAR NAHIN
BHIKARI KA DEEDAR NAHIN
TALEEM LA MAYYAR NAHIN
EIJADAAT (RESEARCH) KA SHUMAR NAHIN
KOI KISI SE KHWAR NAHIN
یہاں
فضول تہوار نہیں، رسومات کا مینار نہیں،
بیٹی کوئی بار
نہیں، سڑک پر غبار نہیں، بھکاری کا دیدار نہیں،
نلوں پر قطار
نہیں، کوئی شخص بیکار
نہیں، پابندی
وقت دشوار نہیں، تعلیم لامعیار نہیں، ایجادات کا شمار نہیں،
کوئی کسی سے۔خوار نہیں۔
انکی
چند چیزیں البتہ دل کو کھٹکتی ھیں؛
INKI
CHAND CHEEZEN ALBATTA
DIL
KO KHATAKTI HAIN
GHIZA MAZEDAR NAHIN
KHANE
MEIN ACHAR NAHIN
GHEE
KA BAGHAR NAHIN
QORME
MEIN TAR NAHIN
CHOORHION
KI JHANKAR NAHIN
SAB
SE BARHI BORIYAT URDU KA AKHBAR NAHIN
AUR
YAHAN KOI (SHAH MEENA) KA MAZHAR NAHIN
غذا
مزیدار نہیں، کھانے میں اچار نہیں، گھی کا بگار نہیں،
قورمے
میں تار نہیں، چوڑیوں کی جھنکار نہیں، سب سے بڑی بوریت اردو کا اخبار نہیں اور شاہ
مینا کا مزار نہیں
YAHAN TALEEM KA BOL BALA HAI LIHAZA YAHAN
KOI BHOOT PALEET NAHIN, KOI DHONGI BABAB KA TAWEEZ GANDE KA KHEL NAHIN DIKHAI
DETA.
HAN BEECH PAR EK RELING PAR BAHUT SE TALE
(Lock) ZAROOR LATKE DEKHE
AMERICA MEIN INSAAN KAM AUR JAGEH ZYADA
HAI
BEECH, PICNIC SPOT, PARK AUR SPORTS KE MAIDAN ZYADA HAIN
YAHAN HAR MULK KI NUMAINDGI KARTE HOTEL, SHOPING
CENTRE MEIN HAR MULK KA FRUIT, MASALE AUR ZAYEQE MIL JAYENGE.
-MASJID MEIN SADGI SE NIKAH HOTE DEKHA
-NIKAH SE PEHLE COURT MEIN REGISTRATION HOTA HAI
-REGISTRATION KE BAD DULHAN SHAUHAR KI KUL
MILKIYAT KI 50% KI HISSEDAR MALIK BAN JATI
HAI
-ZYADATAR YAHAN MARRIAGE NAHIN KARTE BALKI
LIVE IN RELATIONSHIP MEIN REHTE HAIN.
- AGAR SHARIYAT KE MUTABIQ SHADI CHAHTE
HAIN TO REGISTRATION SE PEHLE PRINIB KARAYA JATA HAI KI HAM NIKAH SHARIYAT KE
MUTABIQ KARENGE. TABI NIKAH SHARIYAT KE MUTABIQ HOTA HAI AUR WOH ISLAMIC
NIKAH-SHADI KEHLATI HAI WARNA NIKAH KE WAQT PARHA JANE WALA KHUTBA AUR MEHAR KA
EIJABO QUBOOL KI KOI VALUE HI NAHI REH JATI.
-MASJIDON MEIN RELEGIOUS EDUCATION KA
EHTIMAM HAI
-RAMZAN KE MAHEENE MEIN MARD AUR AURTON,
DONON KA -ALAG ALAG TARAWEEH PARHNE KA
EHTIMAM HAI
-EID KI IJTIMAI NAMAZ PARHNE KA PARK MEIN
BEHTREEN NAZM HOTA HAI
KUL MILAKAR DEKHEN KI YAHAN DEEN AUR DUNIA
MEIN KOI DIKHAWA NAHIN, HAR AADMI APNE MEIN MAGAN HAI, APNI MARZI SE APNI
ZINDGI JEE RAHA HAI.
No comments:
Post a Comment