History of Kywait : Saddam ka Kuwait par hamla karna bana phansi ka sabab
19 june 1961 ko KUWAITne Bartania se azadi hasil Karli thi. Yahan ka nizam e hukoomat “Aayini malookiyat “ hai. Jiske Ameer ka naam Nawaf ul Ahmad Al Jabir Al Saba aur Prime Minister ka naam Ahmad Nawaf ul Ahmad Al Sabah hai.
-Kuwait
ka kul area 17,818 murabba kilometer (6880 murabba meel) hai.
-yahan
peene ka paani nahin ke barabar paya jata hai
-
2022 mein lagaye gaye andaze ke mutabiq yahan ki aabadi 42 , 94, 621 afrad par
mushtamil hai.
-yahan
ki currency ka naam Kuwaiti Deenar hai.
-kuwait
ki tareekh Hindustan aur Europ ke darmiyan shuru hoti hai
-18ween
sadi ke aakhir mein Kuwait ke zyada tar muqami log moti farokht kiya karte the
tab yeh mulk khana jangi ki lapet mein tha.
-1756
mein Sabah bin jabir “Ameer Kuwait muntakhib hue. Mojooda Hukumran Sabah
khandan ka talluq isi nasal se hai.
-Saltanat
Usmania ke rasookh barhne par Kuwait ko Saltanat Usmania ka Qasba qrar de diya
gaya.
-1913
mein Saltanat Usmania aur Birtania ke beech hone wale pact ke zere asar Kuwait
ke Ameer Mubarak Al Sabah ne dono Hukoomaton ki matehti qubool kar li.
-Kuwait
mein pehli baar 1930 mein tel, Petrol mila
-First
Jang e Azeem ke khatme ke baad Bartania ne Kuwait se Saltanat e Usmania ka
tasarruf khatam kardia aur ise Bartania ke zere Nigrani Mulk qarar de diya.
No comments:
Post a Comment