SEWA
TRUST (Reg.) ke sadar Dr. Masood Ahmad ne “Ajmal Super 40” ke 350 se
zyada Students NEET mein Select hone par Maulana
Badruddin Ajmal sb, ko Mubarakbad pesh ki hain.
2016 mein Ajmal Foundation qayam kiya gaya
tha. Jis mein Medicine aur Engineering ki Coaching ka intizam qayam kiya hai. 2021-2022
mein 240 se zyada students ne NEET qualify kia tha.
Darul Deoband ke Zimmedar aur Dhubri,
Assam ke Member of Parliament ajmal sb chahte hain ki Ghareeb aur Honhar Salahiyatmand bachchon
ko bhi apna talent dikhane ka mauqa dena chahiye.
Appeal by Maulana Badruddin Ajmal,
Maulana Badruddin Ajmal ne Mulk w Millat ke Sahibe Haisiyat logon se appeal ki hai ki Har Shahar mein bachchon ko parhane ka ehtimam karen.
SEWA
Trust ke sadar Dr. Masood Ahmd ne mashwara diya hai ki ham log apni Arbon
rupees ki ZAKAT ko Ramzan ke maheene mein titar bitar bant kar baith jate hain
phir bhi Ghareeb, Ghareeb hi rehta hai.
Agar
ham apni zakat ka kuchh hissa ijtimaiyt ke saath zarooratmand bachchon ko khusoosan
apne, apne relative bachchon ko parhane keliye har shehar mein “Ajmal Super 40”
ki tareh ZAKAT ke paisa se Bachchon ko parhane ka intizam kar den.
Is
policy se Muslim Bachchon ko Professional Courses “Islam mein Taleem dilana FARZ
E AIN” hai. Ham apni Zakat, Sadqa, Imdad
dekar ghareebon ko parhakar ghareebi aur pichhrhapan door kiya ja sakta hai.
No comments:
Post a Comment