TAQATWAR SADDAM NE KUWAIT PAR HAMLA KAR AMERICA SE DUSHMANI MOL LE LI THI
IRAQ ke sadar Saddam Husain Muslim mumalik ki yakjegti aur sarparasti karna chahte the.
2-Saddam
ne Oil Producing Countries (OPEC) deshon
ki meeting bulakar appeal ki ki hamein muttafiqa rai se oil ki qeemat tey karni
chahiye. Aur hamein hi ikhtiyar hona chahiye ki ham kitna oil cell karen.
-Pehle
se America Super Power oil ki qeemat tai karta chala aa raha tha. America ko Saddam
Husain ki leadership Manzoor nahin hui aur woh Saddam ka dushman ban gaya
-America
ne Muslim mumalic mein khalfishar kar sab ko alag thalag kar dia, dara dhamka
kar, Saddam Husain ke appeal par jo yakjehti bani thi use torhdi.
-
Kuwait ke Prime Minister ki harkaton se Awam pareshan rehne lagi, ek roz Kuwait
ke log Saddam Husain ke pass shikayat
karne aye ki hamen bachao
-
Saddam Husain ne ghalti yeh ki ki baghair muslim mumalik se masheara kar Kuwait
par charhai kar di aur Kuwait ke PM ko giraftar kar lia
-America
ko mauqa mil gaya aur poori dunia ke mumalik ki meeting kar NATO sena banakar
Iraq par hamle ka mahol bana dia. America ne kaha ki muslim mumalik azad hain aur ham unke muhafiz hain. kisi ko haq nahin ki jab chahe hamla kar de.
-America
ne dunia mein ailan kar dia ki Saddam Husain ne Barhe barhe hathiyar chhipa
rakhe hain jaisa ki Iran ke liye ilzam lagaya tha.
-
Iraq mein baghawat ho gayi aur Shia-Sunni mein awam bant gayi.
-NATO
sena ne Iraq par bambari shuru kardi aur pehle se naraz fauj ke afsaron ne
America ka saath diya aur Saddam ka takhta palat diya.
-Inernational
court ne muqadma shuru kiya aur phansi ki saza di gayi magar Saddam apne ko innocent mankar muskurata raha.
-Saddam
ke saath jo security guard tainat the woh bhi ro rahe the ki itni barhi
shakhsiyat ka akhlaq bahut Khushnuma, rehamdil aur cooprate karne wala tha. Sab
jante the ki woh innocent hai, bequsoor hai..
-Saddam
Husain ne khwahish Zahir ki ki woh gumnami ke bajaey dunia ke samne phansi par
latak kar shaheed hona pasand karenge.
-Phansi
se pehle Quraan parha aur hanste hanste shaheed hogaye. Hazreen ne bataya ki
Saddam ke Chehre par koi khauf nahin tha. fauji dress mein apne status ke sath aan, baan aur shaan se hanste hanste phansi ke phande par charh gaye.
-Tamam
dunia ke logon, khusoosan muslim mumalik ko Saddam Husain ne yeh dikha diya ki Muslim
mumalik ki “yakjehti” aur Islam ki surkhrooi ke khatir Saddam ne apne ko
qurbaan kardiya. Allah se dua hai ki unhen Shahadat ka darja mile.
Saddam
ki shahadat par Muslim mumalik bhi khush nahin hue honge, balki pachhta rahe honge ki
hamne ghalat kiya. Dunia mein ab koi leader musalmano ko jorhne, yakjehti keliye
risk nahin lega.
-
musalman is layaq hi nahin hen ki koi unki leadership kare. Musalman azadi ke
saath pitne mein hi khush rehte hain. Pitai ki adat jo ho gayi hai.
-Saddam ki shahadat ke baad tamam muslim mumalik America ki ji huzoori mein lage huey hain. Jo Saddam ke rehte mumkin n tha.
No comments:
Post a Comment