Mere IDEAL REHNUMA SAIYID HAMID--Dr. Masood Ahmad
AIEM ke Taleemi Carvan ka Banglor mein Rajey Sabha ke sabiq Dy Speakar aur Minority Welfare Minister reh chuke K Rahman Khan sb ne apne college mein carvan ka istaqbal kiya. Photo programe ke baad Zohrana ke waqt liya gaya hai.
H.D. DEVAGODA (HARDAN HALLI DEVAGODA) ke Ist May 1933 Birthday PAR KHAS PE3SHKASH
BHARAT KE 11th SECULAR WAZEER E AZAM
Yakum June
1996 se -21 April 1997 tak PM rahe
-Ghareebon,
kisanon aur Musalmanon ke masayil ke liye larh kar naam kamaya.
-Ist May 1933 ko Karnatak ke Distt. Hasan mein paida hue
1953
-Congress party join ki. 1962 tak congress ke member rahe.
- 20 saal ki
umar mein Politics join ki, 28 saal ki umar mein MLA chune gaye.
-1972 se
1976 tak opposition leader in Karnataka-Assembly
- 1991 mein
pehli baar lok Sabha ke liye chune gaye
-1994 se
1996 tak Karnatak ke Chief Minister
-now ab woh
Rajey Sabha ke Member of parliament hain
- Naional President of Janta Dal Secular
UP Rabita
Committee ka ek jalsa Lucknow mein munaqid hua jismein Prim Minister ke
Avietion Minister CM Ibraheem sb ki taraf se bataya gaya ki PM HD Devagoda sb Musalmanon ki taleemi
taraqqi chahte hein. UPRC ke President Sayid Hamid sb ko Central Govt. mein HRD
Minister banana chahte hain taki Muslim samaj ka pichhrhapan door kar Hindustan
ki mukhey dhara mei aa jayen
Sayid Hamid
sb ka mizaj siyasat se koso door tha aur taleemi maidan mein khidmat karne ka raha hai. magar unka jhukav Congress ki taraf tha.
Unhon ne
Minister banne se inkar kar diya aur salah di ki agar Hindustan ko
developed country banana chahte hain to har citizen ko kuhshhal banana hoga. Agar
muslman pichhrha reh gaya to Hindustan developed country nahin ban payega.
Saiyid Hamid
sb ne sarkar ko salah di ki Musalmanon ka
ek syrvey karaya jaye ki ham kitni tadad mein hain? Sarkari aur neem Sarkari kitne
job mein hain? Hamara economical status kya hai? Etc. etc.
Justice Sachchar
sb ki qayadat aur Dr. Zafar Mahmood sb ki
sarbarahi mein committee ka qyam hua aur Saiyid Hamid sb ke India mein har zile aur qasbe mein ham followers
ne tawun de kar Sachchar Committee ki report Tayyar karadi. Report mein Saiyid
sb ki yeh peshangoi sahi sabit hui ki Musalman Bodh aur Dalit se bhi zayada
pichhrha hua hai.
Musalmanon ke
pichhrhepan ko door karne aur unki khushhaali, aur unka development karne ke
liye Saiyid Hamid sb ne sarkar ko salah di ki Rs. 1000 caror allote kar deejiyen to musalman apne
halat khud behtar banalenge.
Sayid Hamid sb ne ke project banaya, Pradhan Mantri ke Minorities ke vikas ke liye PM 15 sootri karyekram ke tehat PM sb ne PM FUND mein se Rs.1000 carorh rupees Manzoor kar diye.
Saiyid Hamid
sb ne lagbhag Rs. 100cr se Maulana Azad University, Gachchi baoli, Haydrabad
mein qayam karai gayi. Rs. 100 cr. se Maulana Azad Foundation qayam kiya gaya jis
ke zariye Minoriteis apne School, College, Universities, idare qayam kar saken
aur Tulba w Taleebat ko Scholorship de saken.
Minority Institution welfare Association ka qayam kiya gaya
jiski zimmedari Justice SS Siddiqui sb ko di gaayi. Jinhon ne kafi tadad mein
Institutions ko Minority ka darja diya gaya.
Saiyid Hamid sb ka ek bahut hi khas pasandeeda programe tha
ki Hindustan ke lakhon Maderson ka Modernisation kiya jaey. Jismein har maderse
mein Science, Mathe, English aur Computer ke saath teacher appoint kiye jaen
aur Maderse mein Science ki Lab. Aur Khel ka saman diya jaey.
Yad rahe ki Saiyid Hamid sb ne UP Rabita Committee ki janib
se bhi ek aisi hi muhim UP ke maderson mein shuru ki thi aur maderson ko ek
khat irsaal kiya gaya tha jismein Rs.10,000
se Science Lab aur Rs. 10,000 se Khel ka samaan dilaya jaeyega. Sirf 2 maderson
ne qubool kiya aur baqi tamam maderson ne jawab tak nahin diya.
Afsos! ki barhe maderson ne Sarkari madad lene se mana
kardiya. Ki hamare Chande se carorhon
Rupees ka budget hota hai aur ham azadi se kharch karte hain. Hamari deeni
taleem mein sarkar khalal n dale.
Devgorha ji ke baad Congress ki sarkar a gayi to isi project
ke tehat 5 Minority Univerities @ Rs.100 cr each se jismein ek Unani aur ek for
women Empowerment ka qayam hota. Minority Welfare Minister K. Rehman sb ne
diclare bhi kar diya tha.
Nasim Ahmad Sb IAS ne E3 Abul Fazal, New Delhi mein munaqid ek meeting mein bataya ki mein ne mantraley
jakar dekha to pata chala ki File thande baste mein rakhi gayi hai. Abhi sarkar ka koi Minority
University banana ka irada nahin hai.
Han Isi project ke tehat 2-3 bar @ Rs. 50 carorh each AMU ke
Kishanganj aur Murshidabad centre mein de diye gaye. Kuchh raqam NCPUL mein bhi
kharch kiya gaya.
2014 mein BJP ki sarkar ban gayi to yeh planning thande baste
mein rakh di gayi. 2014 se 2019 tak to Minority welfare Ministry mein Muslim
bachchon ko Scholorship mila. Lekin Mukhtar Abbas Naqvi sb ki karkardgi itni
slow thi ki budget ki kafi raqam wapas ho gayi.
2019 ke baad to Modi ji ne policy bana di ki pichhle budget mein jitna kharch hua utna hi budget diya jaye. Is tareh Center aur UP mein minority Ministry ke tamam programe ka survey aur usmein kamiyan nikal kar enqireis ki ja rahi hain. dobara Commision aur dobara planning banayi jar rahi hain, Ministers ka waqt isi udherh bun mein kharch ho raha hai. maderson ke teachers ki salery bhi nahin mil pa rahi hai.
ek sb bata rahe the ki mein
ne Maulana azad Foundation mein itne chakkar lagaye ki joote ghis gaye magar
unke kaghaz aaj tak poore nahin hue. Main thak har kar baith gaya.
Jamia Millia Islamia University ke ek sb ne bataya ki University ke zimmedar barhi kanjoosi se kharch karte aa rahe hain aur saal ke aakhir mein Conferenece aur programe kar us paise ko khapate hain. Sabiqa saal Finence Ministry ne February mein hi report mangai aur jitni raqam kharch n hui woh sab wapas le li ki aapko is paise ki zaroorat hi nahin hai. aur ainda itna paisa bhi kam diya jayega. Aapne jo kharch kiya hai utne mein hi aap kam chala sakte hain. ab zimmedar pachhta rahe hain ki zaroori kam bhi n kar sake, kaash kharch karlete.
Doosri taraf Minority Institution welfare Committee mein
Justice SA Siddiqui sb ke baad Musalmanon ke Institutions khusoosan UP mein Minority ka darja dena hi band kar diya gaya
hai.
Yahi nahin Rampur mein Jouhar University ke Azam Khan ko aur
Saharan pur mein University ke founder Haji Iqbal ko budget dena to door Jail
mein dal diya gaya hai.
BJP ki Karnataka sarkar mein ek lac muslim taleebat ne Hijab
ki wajeh se 10th aur 12th ka Examination hi nahin diya jo
ki bahut barha nuqsaan hai.
Zara sochiye, Hindustan ki naamvar Universities mein Jo Qabil, Honhar, Hindustan ko Muslim world mein best performence de sakne wale Muslim Research Scholores ko Deshdrohi mankar jailon mein thoons diya gaya, mental torcher kiya gaya, Unki research complete hi nahin hogi, muqadme larhte rahenge, unke future ka kya hoga, unki zindgi barbad kar di gayi.
Lekin ham ne seekha hai ki mayoosi kufr hai. Allah ke yahan der hai andher nahin hai. Suprim Caourt se sab baizzat bari hokar aa rahe hain. Maulana Arshad Madni aur Barrister Asad Uddin Owaisi ki khidmat ko ham salam karte hain.
Aisa mahol bana diya gaya hai ki Muslim bachche taleem hasil
hi n kar saken. kharch karne ki nobat hi nahin aaye. Aise halat bana diye gaye hain ki budget wapas
hi chala jaye.
No comments:
Post a Comment