Aligarh Muslim University ke vice Chancellor Lt. General Zameeruddin Shah sb ne ek roz mujhe bula kar maloom kiya ki aap UP Rabita Committee mein Marhoom Saiyid Hamid sb ke saath rahkar, unhen aapne qareeb se jaana hai. Saiyid sb ki koi khwahish jis ko AMU amal mein la sakti hai.
Mein ne bataya ki Jamia Hamdard ke Vice Chancellor Siraj Ahmad IAS sb, Prof. Ateeq Ahmad Siddiqui aur mujh ehqar ko Darul Uloom Deoband bheja tha ki ek “BRIDGE COURSE” 10th ke baad 11th+12th ka tayyar kiya jaey jo AMU aur Darul Uloom Deoband ke Students Aalim Faazil dakhila lekar Mushtarka parh saken. jiski misaal Wasiur Rahman IAS hain. 2023 mein bhi Hafiz aur Maulana IAS mein select ho chuka hai. Shaheen Group Karnataka aur Maulana Badruddin Ajmal sb ke 150 students ne NEET mein select hue hain.
No.-1 Shah sb ne AMU S.S.S. ka naam SAYID HAMID SR. SECONDRY SCHOOL kar diya No.-2 Zameeruddin Shah sb ne farmaya ki Darul Uloom nahin kar sake lekin AMU to kar sakta hai.
MADERSA BIRADRI Lt. GENERAL ZAMEER UDDIN SHAH SB KI ehsaanmand hai ki unhone AMU mein behtreen Khoobsoorat building, Modern Equipment, Moderan Classes mein Bridge Course shuru kiya jahan maderse ke fargheen Khushi Khushi parh saken, mustafeez ho rahe hain.
Mash hoor Alime Deen Maulana Yaqoob BulanShahari ko jab mein ne AMU mein Bridge Course ke Director Professor ….sb Deptt. Of Computer Engineering, Zakir Husain Engineering College & Technology aur Maulana Professor Saud Alam Qasmi sb se milwaya to bahut khush hue aur AMU ke baani Sir Sayed Ahmad Khan aur Zameeruddin Shah sb ko Duaaen dene lage. Unhone apne Huffaz aur Maulanaon ko bhejna shuru kar diya.
PEHLE SE JANKARI THI KI 21th CENCHURI “ILM HASIL KARNE’’ KI HOGI
MAULANA HUZEFA GHULAM WASTANVI
NOOH, HARYANA MEIN MAULANA HUZEFA GHULAM
VASTANVI NE KAHA KI 21WIN SADI ILM w AGAHI KI SADI HOGI. YEH RESEARCH KAR,
QURAAN AUR HADEES SAMAJH KAR PARHNE AUR USE ZINDGI MEIN AMAL KARNE KI SADI HAI.
Mewat, Nooh mein Madersa Abi Bin Kaab Ghaserha
mein jalsa e aam munaqid hua jismein Maualana Huzefa ko Maulana Sher Mohammad
Ameeni ne Sipaasnama pesh kiya.
UNHON NE KAHA ki JIHALAT MEIN DOOBE NAKHWANDA
ZINDGI BASAR KARNE WALON KA KOI PURSANE HAL NAHIN HOGA.
AAJ KE DAUR MEIN AGAR BADQISMATI SE KOI JAHIL
REH GAYA TO USKO APNE PICHHRHEPAN SE KOI
NIKAL NAHIN SAKTA.
UNHONE KAHA KI ILM TO AAGAHI KA NAAM HAI.
ALLAH NE APNE PIYRE AUR AAKHRI NABI MOHAMMAD MUSTAFA SALLALLAHO W ALEHE
WASALLAM PAR ILM-E-VAHI UTAR KAR HAMEIN ILM SE NAWAZA GAYA HAI, JISKA KOI
MUTABADIL NAHIN HAI.
UNHON NE KaHA KI QAUM KO TALEEM KE RASTE
PAR GAMZAN KARNE KE LIYE HAMARE PASS BAHUT HI BARHA ZARIYA HAI.?
WOH HAIN
HAMARE MASAJID KE IMAM SAHEBAAN !
YEH TABQA AISA HAI KI AGAR AWAM KE BACHCHON
KO PARHANE KI THAN LEN TO BAS MANZIL HAATH MEIN AA JAYEGI.
UNHON NE KAHA KI KHAIR UL QAROON AUR BAAD KE
ADWAR, ZAMANE MEIN TALEEM MEIN KOI DOIYAT NAHIN HAIN. EK HI CHHAT KE NEECHE
SABKI TALEEM HO JAYA KARTI THI. Yaad rahe ki Madersa Darul Uloom Deoband ka Maulana
Ghulam Mohammad Wastanvi ko Vice Chancellor bana diya gaya tha. Unhon ne ek
Press Conference kar kaha ki Darul Uloom mein mojoodah syllabas ke saath
mendatory Science, Technology, Unani Medicine ki bhi Parhai karayi jayegi. To dosre
din hi unhen is mansab, post se hata dia tha.
Maulana Arshad Madani aur Maulana Mahmood Madani nahin chahte ki Darul Uloom mein asri Taaleem “Bridge Course” shuru hojaye.
International Motivationaal Speakar Munawwar Zaman ne Introductry Message mein kaha ki mein har maderse ke tulba ko yeh batana nahin bhoolta ki Allah Rabbul Izzat ne hamein jo Zehan, Aqal o Feham, Broad Mind se nawaza hai woh ek azeem nemat hai. Isi zahanat ki wajeh se Allah ta a ala ne hamein “Ashraf ul Makhlooqat” title se nawaza hai. Lekin ham logon ne Allah ki di hui is Nemat ko, aur apne aap ko nahin pehchana.
No comments:
Post a Comment