My dear readers of SALAMEVATAN
Assalamu
Alaikum,
Wishing
you and your entire family a Happy, Blessed and Wonderful Eid ul Fitr.
*May
Allah سُبْحَانَهُ
وَتَعَالَى* grant you success and elevate your status in this world
Dr. Masood
Editor
Allah
hum sab ki ibadaat aur duayein qubool farmaye aur mustaqbil mein hamein bahut
saare mah-e-Ramadan ki fazeelaton se nawaze. Hereafter. Eid-ul-fitr ki
pur-khuloos Mubarakbad qubool farmen.
Sub
Editors
Mahtab
(Canada), Salman (San Francisco, America) Saman Saboor Khan (Aligarh, India)
www.salamevatan.org News Paper of
Social,
Educational Welfare Association
(SEWA)
Reg.
SF ke hafiz sb aur Philisteen ke hamare saathi namazi Abdullah sb
uzbekistan ke saathi namazi
INDIA
KE MUQABLE AMERICA MEIN ISLAM MAZHAB KI CHHOOT
Dr.
Masood Ahmad ne dekha ki jahan Gurugram (Haryana) mein Jume ki Namaz, aur Moradabad
(Uttar Pradesh) INDIA mein apne hi ghar mein Taraweeh parhne mein Khalal dal kar Police parhne se
rok rahi hai waheen
VS
Saint Marry Park, Callifornia,
AMERICA
Mein
poori azadi ke saath
Maulana
aur Hafiz Mohammad Junaid sb (Toronto) ne khule park mein mice par taqreer kee,
Eid ki Namaz parhai aur Khutba parha. Waheen nashte ka intizam tha aur bachchon
ne park mein khoob mauj masti ki
NATIONAL PARK mein JUME Ki NAMAZ and Lunch
Mujhe
bahut Khushi hui ki Eid ki Namaz ke baad NATIONAL PARK mein JUME Ki NAMAZ and Lunch hua.
Bachchon ko khelne ka mukammal intizam tha. Mouce Micci ke floor par bachche
kood rahe the, carhe log BALL se khel rahe the.
Jume
ka Khutba parha gaya aur barhe sukoon se hazaron darakhton ke saaye mein khuli
hawa mein Namaz parhi gayi, meri zindgi mein pehli baar itni achchhee se sare
din Eid manayi gayi.
VERY
TASTY DINNER at the house of AHMAD
Shaam
ko Salman ke dost Egypt ke Ahmad sb ke ghar SEWA Trust ke sadar Dr. Masood
Ahmad ka istaqbaal kiya gaya.
Meeting
mein Muslim samaj ki taraqqi, bachchon ko aala taleem aur Islamic tarbiyat,
Fizool Kharchi aur America ke Life Styel se jitna hosake bachne aur Islamic
usoolon par Islamic Zindgi guzarne ki koshish karna muttafiq taur par tai hua.
Engr.
Qasim Zeeshan sb ne seniority ke lihaz se apne bachchon ki Islamic Tarbiyat aur
Modern Taleem dene ke baare mein tafseel se bataya.
Haydrabad
ke Saad sb ne Income aur Expenditure par charcha ki aur bataya ki kis tareh se
ham Sood, Biyaj (Interest) se bach sakte hainA ek bahut hi samajhdari ka
mashwara diya ki hamein LOAN lekar barhe kharch karke kishton ke makarhjaal aur
Tention se bachna chahiye. hamein apni balance diet, Health aur khushion par
focus kar kifayatshari se kharch karna
chahiye.
Mezbaan
Ahmad sb ne Asar ki Namaz aur Maghrib ki namaz ada kar dunia mein aman aur
shanti ki dua ke baad meeting ka ikhtitam hua I InshaAllah phir jaldi melenge.
bahut
hi tasty Dinner diya gaya jismein Pakistan ke Engr. Mohammad Qasim Zeeshan,
Egypt ke Mohammad Siddeeque, Haydrabad India ke Mohammad Saad etc. ki families
ne shirkat ki,
Dr. Masood Ahmad ne meeting organise karane keliye Canada Association aur Naila Saeed maidam ka shukria ada kiya.
Appeal karte hue kha ki poori dunia mein ek AMU Old Boy’s
(Alumni) Association honi chahiye aur uski har country aur India ke har state
aur shehar mein baranches qayam ki jaen
Aligarh
mein main Association mein har mulk ki branch se ek Central Executive Member nominate
kiya jaye.
IDB
Scholorship ki tareh sab Aligarian(Old Boy’s and Girls) milkar ghareeb aur
needy students ko higher and Qualitative Education de saken. ijtimaiyat ke sath kharch karne mein barkat hogi.
Afsos
ab ham sabki Zakat, Sadqa, Imdad (Non Organised Way) mein titar bitar bant rahi
hai jiska sabko mukammal fayeda nahin mil raha hai.
Please
post your advice on salamevatan@gmail.com
to
publish in www.salamevatan.org
Thank you, Khuda Hafiz
No comments:
Post a Comment